Jaayein kahan? Hai wafa yahan raayegan
Saahiban jo laga tha kabhi, woh fareb-e-nazar aasmaan
Ab sharaafat nahi, yeh rivayat nahi baaqi
Ho kisi ki qadar, aisi aadat nahi baaqi
Aisa nahi kahin koi hai, ghalat fehmi jo bani hai
Khoya nahi apnapan, ehsaas ki raah chuni hai
Tarasti hai nigahen meri, takti hain raahein teri
Sun kabhi aahein meri
Yeh kaise main bataaun tujhe, soti nahi aankhein meri
Kat’ti nahi raatein meri?
Ke khwahishon pe khwabon ki, baarishein azaabon ki
Kahan gayi dhoop mere hisse ke sawabon ki?
In dard-bhare naalon pe, kar karam sawalon pe
Kyun sitam hai tera tere chaahne waalon pe?

Dhal nahi jaate, pal nahi jaate
Doobti hain saansein, dil aise bhar jaate
Jaate hue lamhon ko paas bulata hai
Thodi si bhi doori dil seh nahi paata hai
Sab hain dikhaave, jhoothe behlaave
EK hi qadam laaye 100-100 pachtaave
Bekhabar tha zara, par na tha bewafa, yaara
Sach tha ya ghalat fehmi, par khwaab nahi jud paate
Dukh dete, jaan lete, hain taras zara nahi khaate
Sach tha ya ghalat fehmi, par khwaab nahi jud paate
Dukh dete, jaan lete, hain taras zara nahi khaate
Tarasti hai nigahen meri, takti hain raahein teri
Chahiye panaah teri