Zindagi ke safar mein guzar jaate hain jo maqaam
Woh phir nahi aate, woh phir nahi aate
Zindagi ke safar mein guzar jaate hain jo maqaam
Woh phir nahi aate, woh phir nahi aate
Phool khilte hain, log milte hain
Phool khilte hain, log milte hain, magar
Patjhad mein jo phool murjha jaate hain
Woh bahaaron ke aane se khilte nahi
Kuch log ek roz jo bichhad jaate hain
Woh hazaaron ke aane se milte nahi
Umr-bhar chaahe koi pukara kare unka naam
Woh phir nahi aate, woh phir nahi aate
Aankh dhokha hai, kya bharosa hai
Aankh dhokha hai, kya bharosa hai, suno
Doston, shak dosti ka dushman hai
Apne dil mein isey ghar banane na do
Kal tadapna pade yaad mein jinki
Rok lo, rooth kar unko jaane na do
Baad mein pyaar ke chaahe bhejo hazaron salam
Woh phir nahi aate, woh phir nahi aate
Subah aati hai, raat jaati hai
Subah aati hai, raat jaati hai yoon hi
Wakt chalta hi rehta hai, rukta nahi
Ek pal mein yeh aage nikal jaata hai
Aadmi theek se dekh paata nahi
Aur parde pe manzar badal jaata hai
Ek baar chale jaate hain jo din-raat, subh-o-shaam
Woh, woh phir nahi aate, woh phir nahi aate
Zindagi ke safar mein guzar jaate hain jo maqaam
Woh phir nahi aate, woh phir nahi aate