
Choose your script
Read the Song Lyrics
Bikharne ka mujhko shauq hai bada
Sametega mujhko tu bata zara
Haaye, bikharne ka mujhko shauq hai bada
Sametega mujhko tu bata zara
Doobti hai tujhmein aaj meri kashti
Guftagoo mein utri baat
Ho, doobti hai tujhmein aaj meri kashti
Guftagoo mein utri baat ki tarah
Ho, dekh ke tujhe hi raat ki hava ne
Saans thaam li hai haath ki tarah
Haaye, ki aankhon mein teri raat ki nadi
Yeh baazi toh haari hai 100 feesdi
Ho, uth gaye qadam toh aankh jhuk rahi hai
Jaise koi gehri baat ho yahan
Ho, kho rahe hain dono ek-doosre mein
Jaise sardiyon ki shaam mein dhuan
Haaye, yeh paani bhi tera aaina hua
Sitaron mein tujhko hai gina hua
Hmm, bikharne ka mujhko shauq hai bada
Sametega mujhko tu bata zara, zara
बिखरने का मुझको शौक़ है बड़ा
समेटेगा मुझको तू बता ज़रा
हाय, बिखरने का मुझको शौक़ है बड़ा
समेटेगा मुझको तू बता ज़रा
डूबती है तुझमें आज मेरी कश्ती
गुफ़्तगू में उतरी बात
हो, डूबती है तुझमें आज मेरी कश्ती
गुफ़्तगू में उतरी बात की तरह
हो, देख के तुझे ही रात की हवा ने
साँस थाम ली है हाथ की तरह
हाय, कि आँखों में तेरी रात की नदी
ये बाज़ी तो हारी है १०० फ़ीसदी
हो, उठ गए क़दम तो आँख झुक रही है
जैसे कोई गहरी बात हो यहाँ
हो, खो रहे हैं दोनों एक-दूसरे में
जैसे सर्दियों की शाम में धुआँ
हाय, ये पानी भी तेरा आईना हुआ
सितारों में तुझको है गिना हुआ
Hmm, बिखरने का मुझको शौक़ है बड़ा
समेटेगा मुझको तू बता ज़रा, ज़रा
