Faasle badhte gaye, chehre yeh padhte rahe
Baahon mein liye in khwabon ko in kaanto pe chalte rahe
Zakham khud bharte rahe, lehron se karte gile
Doobey hain sirf teri khatir hum, woh jaam aage karte rahe
Lehje toh kaafi hain, shayad tere aadi hain
Samandar yeh lafzon ka jaise, woh behte hue saaqi hain
Tu lahu bhi, rag-rag se waaqif bhi
Jazbe, raghabat, sadaqat bhi
Hikmat bhi aur hai nazaakat bhi
Na jaane tu kitno ki chahat thi
Mujhe teri aadat si, mujhe teri aadat si
Lage sab banaawati, le doobi yeh chahat hi
Mujhe teri aadat si, mujhe teri aadat si
Le doobi yeh chahat hi, mujhe teri aadat si
Yeah, kya yeh jashn meri haar ka hai?
Saare log mujhse khaar khayein
Kya yeh khwahishon ka maarka hai?
Ya asar tere zehere ka hai?
Wahi gile, wahi shikve
Beqaraari, jab na dikhte
Tere husn ki taarifon mein hi bikhre
Dilkash, dilnashin, kya-kya likhte
Shaamein aadi ho chuki, woh baatein yaad rahi
Kya karoon tere liye ab main baat badi
Din toh guzar jaate, lagti har ek raat badi
Jala dein zamaane ko woh aag bhari
Ashkon se dariya yeh bhar gaye
Samjhein hum lehron se darr gaye
Na chahte huye bhi bichhad gaye
Phir se tum muh pe mukar gaye
Mujhe teri aadat si, mujhe teri aadat si
Lage sab banaawati, le doobi yeh chahat hi
Mujhe teri aadat si, yeah, mujhe teri aadat si