Phoolon ki laashon mein taajgi chahta hai
Phoolon ki laashon mein taajgi chahta hai
Aadmi chutiya hai, kuch bhi chahta hai
Phoolon ki laashon mein…
Zinda hai toh aasmaan mein udne ki zid hai
Zinda hai toh aasmaan mein udne ki zid hai
Mar jaaye toh…
Mar jaaye toh sadne ko zameen chahta hai
Aadmi chutiya hai
Kaat ke saare jhaad-waad makaan bana liya khet mein
Cement bichha kar zameen sajaa di, maar ke keede rait mein
Kaat ke saare jhaad-waad makaan bana liya khet mein
Cement bichha kar zameen sajaa di, maar ke keede rait mein
Laga ke parde charon ore, qaid hai chaar-deewari mein
Mitti ko chhoone nahi deta, mast hai kisi khumaari mein
Mast hai kisi khumaari mein
Aur woh hi banda
Apne ghar ke aage nadi chahta hai
Aadmi chutiya hai
Taang ke basta, utha ke tambu jaaye door pahadon mein
Wahan bhi DJ, daaru, masti, chaahe sheher ujaadon mein
Taang ke basta, utha ke tambu jaaye door pahadon mein
Wahan bhi DJ, daaru, masti, chaahe sheher ujaadon mein
Phir sheher bulaaye usko toh jaata hai chhod tabaahi peeche
Kudrat ko kar daagdaar sa, chhod ke apni syaahi peeche
Chhod ke apni syaahi peeche
Aur wohi banda wapas jakar
Phir se wahi hariyaali chahta hai
Aadmi chutiya hai
Phoolon ki laashon mein taajgi chahta hai
Phoolon ki laashon mein taajgi chahta hai
Aadmi chutiya hai, kuch bhi chahta hai
Phoolon ki laashon mein…