Ek aalsi dopahar mein, ek boodhe neem ki chhaanv mein
Jo nakshe mein bhi na mile, uss chhote se gaanv mein
Mere dada mujhse keh rahe the ke beta kuch kanoon hai
Jitni tarah ke bande dikhte, utni tarah ke khoon hain
Utni tarah ke kisse hain har bande ke har ghaav mein
Ek aalsi dopahar mein, ek boodhe neem ki chhaanv mein
Ek sipahi ke charche sun reh gaya tha dang main
Usne maar giraye the na jaane kitne jung mein
Gaanv mein jab woh lauta tha toh khadda tha ek aankh mein
Par saare yahi pooch rahe the, “Kitne milaaye raakh mein?”
Kisi ne uska haal na poocha, aise hi sab ghar gaye
Fauji ko yoon laga ke jaise woh saare bhi mar gaye
Usne apni maa se kaha, “Kar daale maine paap kayi
Jo chaahe ise naam do, maine chheene bete-baap kayi
Yeh sab soch-soch kar meri toh aankhein nam hoti hain
Kya ajnabiyon ki jaan ki keemat apno se kam hoti hai?”
Aur phir paani bharta gaya, uss chhed se uss naav mein
Ek aalsi dopahar mein, ek boodhe neem ki chhaanv mein
Phi kaha unhone, “Ek gaanv mein thi paani ki tanki
Uss tanki ko lekar thi beta bahut badi nautanki
Ek jaat ke bharte paani, ek ke khade dekhte rehte
Aur unke ghade achhoot door se pade dekhte rehte
Woh auratein ghanto intzaar kar khaali-haath ghar jaati
Woh auratein ghanto intzaar kar khaali-haath ghar jaati
Kyonki oonchi jaat ki auratein hi tanki khaali kar jaati
Maine dekha hoti jaat khoon aur paani aur ghadon ki
Bas jaat nahi hoti duniya mein paison aur jhagdon ki
Kahoon gaanv ka naam toh log wahan ke phir sharminda honge
Par sharminda toh tab honge jab asal mein zinda honge
Par sharminda toh tab honge jab asal mein zinda honge”
Insaan beh raha jaati-dharm ke gande naale ke bahaav mein
Ek aalsi dopahar mein, ek boodhe neem ki chhaanv mein
Jo nakshe mein bhi na mile, uss chhote se gaanv mein