Aankhein kab se keh rahi hain, main teri hoon, piya
Isharon mein batane ko ab kya reh gaya?

Tum aa jaao meri baahon mein, tumko ijaazat hai

Iss pagal dil ki dhadkan ne tumhein chun liya

Haathon ki mehendi pe hai naam tera likha
Abhi tum kyun na samjhe mere dil mein hai kya
Yeh duniya ko pata hai, ek tu hi jaane na

Main aadat ban ke tumhari chheen lungi jiya
Aankhein kab se keh rahi hain, main teri hoon, piya
Isharon mein batane ko ab kya reh gaya?
Yaar mere, pyaar mein tere bhool jaungi zamana
Zamane ki tu fikr na kar, mujhe tumko hai apna banana
Aa, zara kareeb aa, haan, mujhmein tu bas ja na
Jo bhi hai dil mein tere, sab keh de, kya sharmana
Kagaz pe jo bhi tune apne lafz hain likhe
Unko bata de aaj mere lag ke gale

Ab aankhein nahi, lab bolenge, jo dil hai diya