Khud se bhi mila karein
Sir utha ke chala karein
Khuda ke tareeqe hum nahi samajh sakte
Hum ussey kya gila karein?
Duniya sang-dil, banti meri dushman
Hum kam-az-kam khud se hi sulah karein
Kam bola karein, zyada suna karein
Rab deta hai maafi, phir gunaah karein
Yeh taaqat thikane badal sakti
Qalam ki taaqat takhat bhi palat deti
Likhaari jaan leva hoon, par
Likhaai hi roz ab jeene ka sabab deti
Warna zindagi mauqe toh kam deti
Mehfilon mein toh raunak bhi humse thi
Idhar hustle karte-karte poora din gaya
Urdu Rap main, Urdu Rap mere bin kya?
Facts hain yeh, flex nahi
Mujhe Ghalib jaisa likhne ka faiz nahi
Woh habeeb hain mere toh mujhse door kyun?
Woh hareef hain mere toh unki khair nahi
Aajkal bhejein mujhe text sab
WhatsApp pe they wanna know what’s up
Meri zindagi kitno ki hasrat
Main misaal, mera naam lete maslan
Dil phenk ke na dil tod
Billboard pe ab dikhe shakal inko
Mera bank balance lagta tha PIN code
Ab safar dekh sirf sifar gin tu
Ayy, I belong here, jaane ka mood nahi hai
Headliners hum, teri koi news nahi hai
Kya woh sunte, par karte mehsoos nahi yeh
Waade toote, par tootein asool nahi yeh
Jo bhi hustle thi, gayi woh fazool nahi hai
Lekin duniya toh faani hai, bhool nahi yeh
Hum fana huye iss fanoon ki khaatir
Pagalpan ki had tak junoon bhi hai
Tum sub rakh lo, main shab rakhta hoon
Main jalwa, jalaal aur karb rakhta hoon
Iss hi dil mein rakhta hoon dard apno ka
Dil ka ek khana ab sard rakhta hoon
Zaroorat aur khwahish mein farq rakhta hoon
Hisab se lafzon mein harf rakhta hoon
Dildaar hoon main bada, par dil-shikasta hoon
The joke is on you, main tum pe hasta hoon
Sehma tha dil, par tha yaqeen
Ladkhadate qadam, par rasta wahi
Syahi mein doobi zindagi toh seekha udna tabhi
Aazma le, zakhmon ko tu apna le
Mashal tu dil ki jala le, dekhegi dunya sabhi
Aazma le, zakhmon ko tu apna le
Mashal tu dil ki jala le, dekhegi dunya sabhi
Baatein yeh mukhtasar, main karta raha mustaqil
Nahi hote mushtamil, kahani yeh mukhtalif
Yeh khwaab huye muntaqil, kagaz mushta’il
Urdu Rap aur main uska dil, munafiq jo munfa’il
Log muntazir the iss qadar, phir kis ka dar?
Hum muntakhab, sab muntashar jab chunte lafz
Ab sunte sab yeh khush-khabar, jo bad-nazar woh darguzar
Yeh dhun pakad, kyun besabar? Kyun be-asar? Tu le sabaq
Ab befikar yeh sher arz, motabar hon beshtar
Ho der jab toh be-adab, yeh khel ab lagta na-mumkin
Main aur mere khwaab, jeena chahta hoon main khul ke
Qalam yeh aazaad, yahan nizaam saare ulte
Lagi jaise aag, sheher baarishon mein dhulte
Dil mein ho dard jab yahan kalakaar rulte
Zindagi paheli, boojho jaano kitne uljhe
Andhere mein chiraag jaise hi yeh lehja sulge
Kate mere par, phir bhi jaane kaise udte
Mujhe udne de
Toote jo dil woh aaj judne de
In aankhon ko khushiyon se bharne de
Alfaaz mere dil mein utarne de
Manzil toh khush ho theherne pe
Yeh ghar mera, jad ko na marne dein
Ubhrenge, sooraj yeh dhalne de
Waqt lage khud ko badalne mein
Magar waqt yeh badalta hai
Safar yeh taveel beshak, nange pair chalta reh
Chubhe bade qeel, khuda zakhmon ko bharta reh
Khud pe yaqeen hai toh zamaane se ladta reh
Tha hi na kuch khone ko, har gully, har ek kone ko
Main karta hoon mutaasir apni baaton se, chal hone do
Jo so rahe the, sone do, main likhne baitha paune do
Raatein na mili sone ko, in khwabon ko pirone do
Dekha tha jo kal woh toh jee raha hoon aaj main
Likhe asal haadse, saare bane hain khaak se
Jaana hai hum ne khaak mein, yeh ilm mera baant de
Nahi koi bade baap ke, hai faqar apne baap pe
Aaj bhi iss shayari mein saadgi
Jazbaat bhi aur yeh ehsaas bhi
Hai sabar ka phal meetha aaj bhi
Yeh hunar dilon ki awaaaz bhi
Sehma tha dil, par tha yaqeen
Ladkhadate qadam, par rasta wahi
Syahi mein doobi zindagi toh seekha udna tabhi
Aazma le, zakhmon ko tu apna le
Mashal tu dil ki jala le, dekhegi dunya sabhi
Aazma le, zakhmon ko tu apna le
Mashal tu dil ki jala le, dekhegi dunya sabhi