ambar se toda lyrics in hindi

Lyrics & meaning

Ambar Se Toda

GenreBollywood

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Ambar se toda sooraj woh pyara
Amma ke aanchal mein dhak daala saara, dhak daala saara
Ambar se utri pyari koyaliya
Koo karke usne hai jaadu sa daala, jaadu sa daala

Aadha chanda, poora taara
Hai mere aangan se ugne waala

Ambar se toda sooraj woh pyara
Amma ke aanchal mein dhak daala saara, dhak daala saara
Ambar se utri pyari koyaliya
Koo karke usne hai jaadu sa daala, jaadu sa daala

Subah mujhe roz maina bulaye
Jaise ki jugnu ko raina bulaye, raina bulaye
Pedon ke jhoolon mein khelungi main toh re
Amma se jaa ke na kehna bulaye, kehna bulaye

Ambar se toda sooraj woh pyara
Amma ke aanchal mein dhak daala saara, dhak daala saara

Titli ke kaanon mein fool lagaye
Patton ke maathe pe moti sajaye, moti sajaye
Machhli ki ungli ko thaame huye maine
Nadiyon ki dhaaron ke geet hain gaaye, geet hain gaaye

Ambar se toda sooraj woh pyara
Amma ke aanchal mein dhak daala saara, dhak daala saara
Ambar se utri pyari koyaliya
Koo karke usne hai jaadu sa daala, jaadu sa daala