
Choose your script
Read the Song Lyrics
Lafz kitne hi tere pairo se lipte honge
Tune jab aakhri khat mera jalaya hoga
Tune jab phool kitabon se nikale honge
Dene wala bhi tujhe yaad toh aaya hoga
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi, bichhadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ki hum dono tawaf-e-arzoo karte
Magar phir arzuon ka bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
Batao yaad hai tumko woh jab dil ko churaya tha?
Churayi cheez ko tumne Khuda ka ghar banaya tha
Woh jab kehte the mera naam tum tasbih mein padhte ho
Mohabbat ki namaazon ko qaza karne se darte ho
Magar ab yaad aata hai, woh baatein thin maz’baten
Kahin baaton hi baaton mein mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
Wahi hain suratein apni, wahi main hun, wahi tum ho
Magar khoya hoon main, magar tum bhi kahin gum ho
Mohabbat mein daga ki thi, so qaafir the, so qaafir hain
Mili hain manzilein, phir bhi musafir the, musafir hain
Tere dil ke nikale hum kahan bhatke, kahan pahunche
Magar bhatke toh yaad aaya bhatkna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi, bichhadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ki hum dono tawaf-e-arzoo karte
Magar phir arzuon ka bikharana bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
लफ़्ज़ कितने ही तेरे पैरों से लिपटे होंगे
तूने जब आख़िरी ख़त मेरा जलाया होगा
तूने जब फूल किताबों से निकाले होंगे
देने वाला भी तुझे याद तो आया होगा
तेरी आँखों के दरिया का उतरना भी ज़रूरी था
मोहब्बत भी ज़रूरी थी, बिछड़ना भी ज़रूरी था
ज़रूरी था कि हम दोनों तवाफ़-ए-आरज़ू करते
मगर फिर आरज़ुओं का बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का उतरना भी ज़रूरी था
बताओ याद है तुमको वो जब दिल को चुराया था?
चुराई चीज़ को तुमने ख़ुदा का घर बनाया था
वो जब कहते थे मेरा नाम तुम तस्बीह में पढ़ते हो
मोहब्बत की नमाज़ों को क़ज़ा करने से डरते हो
मगर अब याद आता है, वो बातें थीं महज़ बातें
कहीं बातों ही बातों में मुकरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का उतरना भी ज़रूरी था
वही हैं सूरतें अपनी, वही मैं हूँ, वही तुम हो
मगर खोया हूँ मैं, मगर तुम भी कहीं गुम हो
मोहब्बत में दग़ा की थी, सो क़ाफ़िर थे, सो क़ाफ़िर हैं
मिली हैं मंज़िलें, फिर भी मुसाफ़िर थे, मुसाफ़िर हैं
तेरे दिल के निकाले हम कहाँ भटके, कहाँ पहुँचे
मगर भटके तो याद आया भटकना भी ज़रूरी था
मोहब्बत भी ज़रूरी थी, बिछड़ना भी ज़रूरी था
ज़रूरी था कि हम दोनों तवाफ़-ए-आरज़ू करते
मगर फिर आरज़ुओं का बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का उतरना भी ज़रूरी था
