beeti baatein yaad aati hai lyrics

Lyrics & meaning

Main Yahan Tu Wahan

GenreBollywood

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Main yahan, tu wahan, zindagi hai kahan?
Main yahan, tu wahan, zindagi hai kahan?
Tu hi tu hai, sanam, dekhta hoon jahan

Neend aati nahi, yaad jaati nahi
Neend aati nahi, yaad jaati nahi
Bin tere ab jiya jaaye na
Main yahan, tu wahan, zindagi hai kahan?

Waqt jaise theher gaya hai yahin
Har taraf ek ajab udaasi hai
Beqaraari ka aisa aalam hai
Jism tanha hai, rooh pyaasi hai

Teri surat ab ek pal
Kyun nazar se hat’ti nahi?
Raat-din toh kat jaate hain
Umar tanha kat’ti nahi

Chaah ke bhi na kuch keh sakoon tujhse main
Chaah ke bhi na kuch keh sakoon tujhse main
Dard kaise karoon main bayaan?
Main yahan, tu wahan, zindagi hai kahan?

Jab kahin bhi aahat hui
Yoon laga ke tu aa gaya
Khushboo ke jhonke ki tarah
Meri saansein mehka gaya

Ek woh daur tha, hum sada paas the
Ek woh daur tha, hum sada paas the
Ab toh hain faasle darmiyaan
Main yahan, tu wahan, zindagi hai kahan?

Beeti baatein yaad aati hain
Jab akela hota hoon main
Bolti hain khamoshiyan
Sabse chhup ke rota hoon main

Ek arsa hua muskuraye hue
Ek arsa hua muskuraye hue
Aansuon mein dhali daastaan
Main yahan, tu wahan, zindagi hai kahan?
Tu hi tu hai, sanam, dekhta hoon jahan

Neend aati nahi, yaad jaati nahi
Neend aati nahi, yaad jaati nahi
Bin tere ab jiya jaaye na