Dil laga bhi liya, ishq bhi kar liya
Chaandni raat mein hum ne taare gine
Dil laga bhi liya, ishq bhi kar liya
Chaandni raat mein hum ne taare gine
Khwaab jaisa koi khwaab thi zindagi
Neend tooti toh aaya samajh yeh humein
Raah woh jis pe main chal raha tha
Uski koi bhi manzil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke qaabil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke qaabil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke qaabil nahi hai
Khoobsurat bahut hai tu, lekin
Dil lagane ke qaabil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke qaabil nahi hai
Bhool jaane ke qaabil nahi hai
Ho, meri yaadon se tu aaj tak na gaya
Aankh mein baarishein teri maujood hain
Meri yaadon se tu aaj tak na gaya
Aankh mein baarishein teri maujood hain
Aaj bhi mehfilon mein tere aur mere
Naam pehle ki tarah hi mash’hoor hain
Meri barbadiyon ki wajah mein
Kehte hain ke tu shaamil nahi hai
Qatl baazar mein ho chuka hoon
Phir bhi tu mera qaatil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke qaabil nahi hai
Bhool jaane ke qaabil nahi hai
Jhoothi wafaon ki jhoothi kahani hai tune sunaai mujhe
Mere liye toh khuda bhi tha jhootha, main sach maan baitha tujhe
Jhoothi wafaon ki jhoothi kahani hai tune sunaai mujhe
Mere liye toh khuda bhi tha jhootha, main sach maan baitha tujhe
Saare ke saare zakham hain sambhaale jo tune diye the mujhe
Ab dhadakta hai seene mein mere
Hai woh patthar, koi dil nahi hai
Zindagi-bhar jise main chaaha
Zindagi-bhar jise maine chaaha
Mar ke bhi mujh ko haasil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke qaabil nahi hai
Bhool jaane ke qaabil nahi hai
Bhool jaane ke qaabil nahi hai