Dard Lyrics

Lyrics & meaning

Dard

Kushagra

FromLove19 ReleasedSeptember 20, 2023

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Showkidd

Dard hua, dard hua, dil ko thoda dard hua
Marz hua, marz hua, mere liye tu marz hua

Woh saari raatein, woh mulaqatein
Yaad aa rahi hain woh mohabbaton ki baatein

Qarz hua, qarz hua, tujhpe mera qarz hua
Dard hua, dard hua, dil ko thoda…

Tune bewajah kyun mujhe khwaab dikhaye yeh?
Tinka-tinka tode, har raat jagaaye yeh
Tune bewajah kyun mujhe khwaab dikhaye yeh?
Tinka-tinka tode, har raat jagaaye yeh

Main maan na paaya, sach jaan na paaya
Baatein teri, aankhein teri pehchaan na paaya

Lafz hua, lafz hua, jhootha har ek lafz hua
Dard hua, dard hua, dil ko thoda…

Hua tu laazmi jaise aadatein ho
Aadhe rahe tere vaade the jo
Jaana tha toh phir aata hi na
Tu na yahan, bas yaadein hain woh

Woh behkaana, paas bulaana
Tu tha farebi aur tera muskana

Farz hua, farz hua, dhoka tera farz hua
Dard hua, dard hua, dil ko thoda…
Dard hua, dard hua, dil ko thoda dard hua
Marz hua, marz hua, mere liye tu marz hua

Dard hua, dard hua, dil ko thoda dard hua
Marz hua, marz hua, mere liye tu…