Death Bed – Hindi Version
Don’t stay awake for too long, don’t go to bed
I’ll make a cup of coffee for your head
It’ll get you up and going out of bed (yeah)
Ho jaana shaayrana aisi baarishon mein
Bin bulaaye bhi khayaal goonjein aisi khwahishon ke
Jinko kone mein dabaye baithe, duniya se chhupaye baithe
Lamho ko baqaaya jo tha, lamhe jo kiraaye ke the
Geeli ungliyon se baalon ko hataana
Muskurana bin wajahon ke woh, gaana woh chalana
Kisi raaste pahaadi pe galat disha se jaise
Kisi raahi ko yoon muskura ke raasta batana
Mujhko yaad hai woh aasmaan puraane daur wala
Jismein ek taraf humara ghar tha chaand-taaron wala
Bijli aati thi toh raat aa ke fuse thi udaati
Aur phir taap ke sitaare apna baadalon mein jaana
Kaafi khush-naseeb tha main aur woh June wali baarishein
Ghoomte the saath tere leke apni khwahishein
I’ll make a cup of coffee for your head
It’ll get you up and going out of bed
Don’t stay awake for too long, don’t go to bed
I’ll make a cup of coffee for your head
It’ll get you up and going out of bed (yeah)
हो जाना शायराना ऐसी बारिशों में
बिन बुलाए भी ख़याल गूँजें ऐसी ख़्वाहिशों के
जिनको कोने में दबाए बैठे, दुनिया से छुपाए बैठे
लम्हों को बक़ाया जो था, लम्हे जो किराए के थे
गीली उँगलियों से बालों को हटाना
मुस्कुराना बिन वजहों के वो, गाना वो चलाना
किसी रास्ते पहाड़ी पे ग़लत दिशा से जैसे
किसी राही को यूँ मुस्कुरा के रास्ता बताना
मुझको याद है वो आसमाँ पुराने दौर वाला
जिसमें एक तरफ़ हमारा घर था चाँद-तारों वाला
बिजली आती थी तो रात आ के fuse थी उड़ाती
और फ़िर टाप के सितारे अपना बादलों में जाना
काफ़ी ख़ुश-नसीब था मैं और वो June वाली बारिशें
घूमते थे साथ तेरे लेके अपनी ख़्वाहिशें
I’ll make a cup of coffee for your head
It’ll get you up and going out of bed