Dil ibadat kar raha hai, dhadkanein meri sun
Tujhko main kar loon haasil, lagi hai yahi dhun
Zindagi ki shaakh se loon kuch haseen pal main chun

Jo bhi jitne pal jiun, unhein tere sang jiun
Jo bhi kal ho ab mera, use tere sang jiun
Jo bhi saansein main bharun, unhein tere sang bharun
Chaahe jo ho raasta, use tere sang chaloon
Dil ibadat kar raha hai, dhadkanein meri sun
Tujhko main kar loon haasil, lagi hai yahi dhun
Mujhko de tu mit jaane, ab khud se dil mil jaane
Kyun hai yeh itna faasla?
Lamhe yeh phir na aane, inko tu na de jaane
Tu mujh pe khud ko de luta
Tujhe tujhse tod loon, kahin khud se jod loon
Mere jism-o-jaan mein aa, teri khushboo odh loon
Jo bhi saansein main bharoon, unhein tere sang bharoon
Chaahe jo ho raasta use tere sang chaloon
Dil ibadat kar raha hai, dhadkanein meri sun
Tujhko main kar loon haasil, lagi hai yahi dhun
Baahon mein de bas jaane, seene mein de chhup jaane
Tujh bin main jaaun toh kahan?
Tujhse hai mujhko paane yaadon ke woh nazraane
Ek jin pe haq ho bas mera
Teri yaadon mein rahoon, tere khwaabon mein jagoon
Mujhe dhoondhe jab koi, teri aankhon mein miloon