Dil Kehta Hai Tu Hai Yahan Toh Jata Lamha Lyrics

Lyrics & meaning

Saagar Jaisi Aankhonwali

Kishore Kumar

FromSaagar (Original Motion Picture Soundtrack)

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Ho, chehra hai ya chaand khila hai?
Zulf ghaneri shaam hai kya?
Sagar jaisi aankhon waali
Yeh toh bata tera naam hai kya

Chehra hai ya chaand khila hai?
Zulf ghaneri shaam hai kya?
Sagar jaisi aankhon waali
Yeh toh bata tera naam hai kya

Arey, tu kya jaane
Teri khaatir kitna hai betaab yeh dil
Tu kya jaane
Dekh raha hai kaise-kaise khwaab yeh dil

Dil kehta hai
Tu hai yahaan to jaata lamha tham jaaye
Waqt ka dariya
Behte-behte iss manzar mein jam jaaye

Tune deewana dil ko banaaya
Iss dil par ilzaam hai kya?
Sagar jaisi aankhon waali
Yeh toh bata tera naam hai kya

Ho, aaj main tujhse door sahi
Aur tu mujhse anjaan sahi
Tera saath nahi paaun toh
Khair, tera armaan sahi

La-la-la-la, la-la-la-la
La-la-la-la, la-la-la-la
La-la-la-la, la-la-la-la
La, la-la-la-la

Ho, yeh armaan hai, shor nahi ho
Khamoshi ke mele hon
Iss duniya mein koi nahi ho
Hum dono hi akele hon

Tere sapne dekh raha hoon
Aur mera ab kaam hai kya?
Sagar jaisi aankhon waali
Yeh toh bata tera naam hai kya

Chehra hai ya chaand khila hai?
Zulf ghaneri shaam hai kya?
Sagar jaisi aankhon waali
Yeh toh bata tera naam hai kya