Chaaha tha jisne, dil uska toda
Pehle toh thaama, phir haath ko chhoda
Kaisi khud-garzi, jismein tu khoya?
Aur aisa khoya, kuch paaya nahi
Kyun? Kyun woh hi rota hai
Jo dil ko hasaata hai?
Seedhi-seedhi in raahon mein
Tu tedha-medha kyun mud jaata hai, dil?
Dil, tu kya hi chaahta hai?
Tu kya hi chaahta hai? Bata, mere dil
Kyun mujhe satata hai?
Tu kya hi chaahta hai? Bata, mere dil
Kehti hai duniya, “Din kitne kam hain”
Khushiyon se zyada phir kyun itne gam hain?
Hum sab kuch paa ke bhi rehte gumsum hain
Sunne ko sab hai, par kehte nahi
Kyun? Kyun woh hi hota hai
Jo dil ko daraata hai?
Bheegi-bheegi in palkon mein
Tu kitni saari baatein chhipata hai
Dil, tu kya hi chaahta hai?
Tu kya hi chaahta hai? Bata, mere dil
Kyun mujhe satata hai?
Tu kya hi chaahta hai? Bata, mere dil