Fitrat Lyrics in Hindi

Lyrics & meaning

Fitrat

Kaifi KhalilTulsi Kumar

ReleasedApril 4, 2025 GenreIndian Pop

About this song

Fitrat Lyrics in Hindi

Fitrat एक खूबसूरत उर्दू गीत है, जिसे Kaifi Khalil और Tulsi Kumar ने अपनी शानदार आवाज़ से गाया है। इस गीत के बोल Kaifi Khalil और Ali Zaryoun ने लिखे हैं और संगीत Kaifi Khalil ने तैयार किया है। यह गाना April 4, 2025 को रिलीज़ हुआ था। Fitrat Lyrics in Hindi कई लोगों के दिमाग में बस गई हैं, जिससे यह एक ऐसा गाना बन गया है जिसे लोग बार-बार सुनना पसंद करते हैं। इस गाने में Sehar Khan और Rifan Hasanli की शानदार मौजूदगी ने इसे और भी खास बना दिया है। नीचे Kaifi Khalil और Tulsi Kumar के गाने “Fitrat” के बोल हिंदी में दिए गए हैं, जो इसके भाव और खूबसूरती को बेहतर तरीके से समझने में मदद करेंगे।

संपूर्ण गाना Amazon Music पर सुनें।

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Ye tera husn bhi kya fitoor hai
Sirf soorat nahi, tujhmein noor hai

Dastoor hai, dastoor hai
Chaaho jise woh milta nahi
Majboor hai, majboor hai
Fitrat bhi apni badalta nahi

Ishq gehra sahi, lakh pehra sahi
Ishq gehra sahi, lakh pehra sahi
Tum mere naam ka kaajal bhar do

Andhera hai kitna mujhmein, ujaala sa bhar do
Ho, andhera hai kitna mujhmein
Ujaala sa bhar do, ujaala sa bhar do

Lehja tera, baatein teri
Dil mein basi hai khushboo teri
Tu hai toh duniya mehboob hai
Chaahat hai ya hai saazish teri?

Lehja tera, baatein teri
Dil mein basi hai khushboo teri
Tu hai toh duniya mehboob hai
Chaahat hai ya hai saazish teri?

Ishq gehra sahi, lakh pehra sahi
Ishq gehra sahi, lakh pehra sahi
Main tere naam ka kaajal bhar loon

Meri saari raatein lelo, mere din bhi rakh lo
Andhera hai kitna mujhmein, ujaala sa bhar do
Andhera hai kitna mujhmein, ujaala sa bhar do

Sab kar lena, lamhe zaaya mat karna
Ghalat jagah par jazbe zaaya mat karna
Jinki aankhein pyaari, baatein jhoothi hon
Unki khaatir sapne zaaya mat karna

Saada hoon, brands pasand nahi mujhko
Mujhpar apne paise zaaya mat karna
Ishq toh neeyat ki sachchaai dekhta hai
Dil na jhuke toh sajde zaaya mat karna

Yaad ka darwaza band na karna, ae dost
Mere khat aur tohfe zaaya mat karna
Jin logon ko khamoshi ki qadar na ho
Un logon par lehje zaaya mat karna

Meri saari raatein lelo, mere din bhi rakh lo
Andhera hai kitna mujhmein, ujaala sa bhar do
Andhera hai kitna mujhmein, ujaala sa bhar do
Ho, andhera hai kitna mujhmein…