Choose your script
Read the Song Lyrics
Gham na hone ka koi jashn manayein kaise?

Yaad aate hi nahi tum toh bhulayein kaise?

Thak ke so jaati hai har raat sulaane mein jinhein

Aisi aankhon ko sulayein toh sulayein kaise?
Yaad aate hi nahi tum toh bhulayein kaise?
Gham na hone ka koi jashn manayein kaise?
Jiske har sheher mein hota hai tazkira unka

Woh ghazal aapki mehfil mein sunayein kaise?
Gham na hone ka koi jashn manayein kaise?
Jism mehka hai teri khushbuon mein, ae Turaz

Wasl hum tera zamaane se chhupayein kaise?
Yaad aate hi nahi tum toh bhulayein kaise?
Gham na hone ka koi jashn…
ग़म न होने का कोई जश्न मनाएँ कैसे?
ग़म न होने का कोई जश्न मनाएँ कैसे?
याद आते ही नहीं तुम तो भुलाएँ कैसे?
ग़म न होने का कोई जश्न मनाएँ कैसे?
थक के सो जाती है हर रात सुलाने में जिन्हें

ऐसी आँखों को सुलाएँ तो सुलाएँ कैसे?
याद आते ही नहीं तुम तो भुलाएँ कैसे?
ग़म न होने का कोई जश्न मनाएँ कैसे?
जिसके हर शहर में होता है तज़्किरा उनका
जिसके हर शहर में होता है तज़्किरा उनका
वो ग़ज़ल आपकी महफ़िल में सुनाएँ कैसे?
ग़म न होने का कोई जश्न मनाएँ कैसे?
जिस्म महका है तेरी ख़ुशबुओं में, ऐ तुराज़

वस्ल हम तेरा ज़माने से छुपाएँ कैसे?
याद आते ही नहीं तुम तो भुलाएँ कैसे?
ग़म न होने का कोई जश्न…