Gharonda Bachana Lyrics

Lyrics & meaning

Parinda

PantherPriyanka Meher

FromFlying Towards the City ReleasedJanuary 21, 2024

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Ghoomta hai toota-toota, parinda rootha-rootha
Ghoomta hai toota-toota, parinda rootha-rootha
Toota-toota, parinda rootha-rootha
Toota-toota, parinda rootha-rootha

Keh dena duniya se, main duniya ke na qaabil
Hai tezi duniya mein, mera dil haule chalta hai kaafi
Yahan talwarein haathon mein aur apne haathon mein hai syahi
Inko haaye ki aadat hai, humein aadat-e-waah-waahi

Jhooth chehre pe bolun toh phir main khaas kaise hua?
Sach bola na toh phir tere dil ke paas kaise hua?
Ummeedon pe khara nahi toh teri aas kaise hua?
Yeh insaniyat hai jalti, yeh koi ghaas ka nahi dhuaan

We are dying, ya phir zinda hai koi?
Pehle lagta tha mujhe bhi karam likhta hai koi
Main galat hota hoon, par mujhe galat dikhta aur koi
Jo pehlu badle har mauke pe, chalta sikka hai wohi

Yeh bhookh khaane pe aur zyada badhti ja rahi hai
Jalti insaniyat toh phir dharti tapti ja rahi hai
Logon ke dil hue thande, ya phir sardi chha gayi hai?
Banana hai ghar toh pahuncha hoon main ghar bhi nahi sahi se, kyunki…

Gharonda bacha na, ujad gayi daali-daali
Aasman hai veerana, jahan hai khaali-khaali
Udun main kahan ko? Pata na hai manzil ka
Pooche koi naam tera toh maine hai “Rab” likha

Uda kaaga, uda aasman mein
Ghar se door jaaye gharwalon ki baat maan ke
Shuru raasta hua toh dil hai haar maan le
Par chalna iklauta raasta, jeevan raag samne

Nayi jagah, nayi hawa, naye baadal, nayi wajah
Dheere-dheere lagne lagi apne ghonsle ki tarah
Door ghar se, naya makaan, itna hosh hi hai kahan?
Par yeh makaan toh phir aksar ghar pe lautne ki tadap

Parinde ka ghute dum
Parinde ko mile “tum”, mil ke bole na koi “hum”
Parinda hai bheed mein, par sunsaan lage sab
Parinde ko maa ki yaad aaye, par bole na, use aati hai sharam

Parinda hai pareshan, use ghonsla na mile
Ghar ki bhare woh udaan, par koi hausla na mile
Aasmaan ude woh toh, use josh kahan mile?
Dosh dene wali duniya mein yahan dost kahan milein? Bata

Maara-maari machi daane-daane ki
Yahan hod machi neeche gira ke bas aage jaane ki
Dekhne wali duniya nahi, dikhane wale ki
Roti kamani nahi, cheenni hai bas khaane wale ki

Mile sab ko yahan jagah kaafi
Phir pade kaafi na yeh jagah, sabko rooth ke yeh gila
Insanon mein bhi kaafi maine dhoonde hain insaan
Par ek bhi na mujhe kahin dhoondhne pe mila

Ud ja kaaga re, tora ambar tohke pukare
Ud ja kaaga re, tora ambar tohke pukare

Ghoomta hai toota-toota, parinda rootha-rootha
Ghoomta hai toota-toota, parinda rootha-rootha
Toota-toota, parinda rootha-rootha
Toota-toota, parinda rootha-rootha