har zulm tera yaad hai lyrics

Lyrics & meaning

Har Zulm Tera Yaad Hai

GenreGhazal

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Saahil pe khade ho
Tumhein kya gham? Chale jaana
Saahil pe khade ho
Tumhein kya gham? Chale jaana

Main doob raha hoon, abhi dooba toh nahi hoon

Ae waada-faramosh, main tujh sa toh nahi hoon

Har zulm tera yaad hai, bhoola toh nahi hoon

Chupchap sahi, maslehatan waqt ke haathon

Majboor sahi, waqt se haara toh nahi hoon
Majboor sahi, waqt se haara toh nahi hoon
Ae waada-faramosh, main tujh sa toh nahi hoon

Muztar kyun mujhe dekhta rehta hai zamana?

Deewana sahi, unka tamasha toh nahi hoon

Har zulm…
Har zulm…
Har zulm…