Ik bagal mein chaand hoga, ik bagal mein rotiyaan

Ik bagal mein neend hogi, ik bagal mein loriyaan
Hum chaand pe…
Hum chaand pe roti ki chaadar daalkar so jayeinge
Aur neend se…
Aur neend se keh denge, “Lori kal sunaane aayeinge”

Ik bagal mein khankhanati seepiyan ho jayeingi
Ik bagal mein kuch rulaati siskiyan ho jayeingi
Hum seepiyon mein…
Hum seepiyon mein bhar ke saare taare chhoo ke aayeinge
Aur siskiyon ko…
Aur siskiyon ko gudgudi kar-kar ke yoon bahlayeinge

Amma, teri siskiyon ko koi rone aayega
Koi rone aayega
Gham na kar, jo aayega woh phir kabhi na jayega
Woh phir kabhi na jayega
Yaad rakh par koi anhoni nahi tu layegi
Layegi toh phir kahani aur kuch ho jayegi

Honi aur anhoni ki parvah kise hai, meri jaan?
Had se zyada yeh hi hoga ke yahin mar jayeinge
Hum maut ko…
Hum maut ko sapna bataakar uth khade honge yahin
Aur honi ko…
Aur honi ko thenga dikhakar khilkhilate jayeinge