Teri dooriyan mujhpe gunaah hain
Dil-e-chaahat iski gavaah hai
Meri duniya teri panaah hai
Yahi ishq ne mujhse kaha hai
Kuch mujhmein tu aise basa hai
Koi mujhmein na meri jagah hai
Kuch dekhun toh tu dikhta hai
Meri aankhon meri teri nigaah hai
Tujhse bichhad ke, ba-khuda, main yahan
Jee na sakunga ik lamha
Aaram aata hai deedar se tere
Mit jaate hain saare gham
Hai yeh dua ke tujhe dekhte-dekhte hi
Nikal jaye dam
Shukrana chaahe main jitna bhi kar loon
Ke phir bhi rahega woh kam
Tera tasavvur mujhe deke maula ne
Mujhpe kiya hai karam
Nikal jaaye dam
Dam, dam, dam
Dil sawarta hai tere khayalon se
Dil sawarta hai tere khayalon se
Jagmagata hai tere ujaalon se
Raks karta hai dil tujhpe marta hua
Paagalon sa tera…
Paagalon sa tera zikr karta hua
Mere chain-o-sukoon teri raah hai
Tu rooh ki khwaab-gaah hai
Tujhse bichhad ke, ba-khuda, main yahan
Jee na sakunga ik lamha
Aaram aata hai deedar se tere
Mit jaate hain saare gham
Hai yeh dua ke tujhe dekhte-dekhte hi
Nikal jaye dam
Shukrana chaahe main jitna bhi kar loon
Ke phir bhi rahega woh kam
Tera tasavvur mujhe deke maula ne
Mujhpe kiya hai karam
Aaram aata hai deedar se tere
Mit jaate hain saare gham
Shukrana chaahe main jitna bhi kar loon
Ke phir bhi rahega woh kam
Aaram aata hai deedar se tere
Mit jaate hain saare gham
Hai yeh dua ke tujhe dekhte-dekhte hi
Nikal jaye dam
Shukrana chaahe main jitna bhi kar loon
Ke phir bhi rahega woh kam
Tera tasavvur mujhe deke maula ne
Mujhpe kiya hai karam
Aaram aata hai deedar se tere
Mit jaate hain saare gham
Hai yeh dua ke tujhe dekhte-dekhte hi
Nikal jaye dam
Hai yeh dua ke tujhe dekhte-dekhte hi
Nikal jaye dam