Sunoon toh azaan si, padhoon toh aayat si
Tujhse hai dil ko rahat si
Dil ka sukoon bhi, maangun toh mannat bhi
Dekhun tujhi mein jannat bhi
Kar de karam tu mujhe pe, dil se yoon dil ko mila
Keh do na naino se, “Ishq bezubaan hai,” keh do na
Keh do na naino se, “Ishq bezubaan hai,” keh do na
Tu shaam Avadh si lagti hai aur subah Banaras waali hai
Tujhe chhookar har pal mehke hava, tu upvan ki hariyali hai
Teri baaton mein taarif badi, samjhun main tere isharon ko
Main toh bas chaahun dil se yeh, ehsaas mile in saanson ko
Main toh bas chaahun dil se yeh, ehsaas mile in saanson ko
Keh do na naino se, “Ishq bezuban hai,” keh do na
Keh do na naino se, haaye “Ishq bezuban hai,” keh do na
Har khwaab mein mujhko milti tu, yeh baat toh dil ne maani hai
Ab lakh sambhaalun, sambhle na, tera nasha bada roohani hai
Mera haal bhi tere jaisa hai, har pl din-raat ye rat’ta hai
Haan, pyaar mujhe bhi hai tujhse, meri rooh se dil yeh kehta hai
Haan, pyaar mujhe bhi hai tujhse, meri rooh se dil yeh kehta hai
Keh do na naino se, “Ishq bezubaan hai,” keh do na
Keh do na naino se, “Ishq bezuban hai,” keh do na
Ishq ibaadat, ishq khuda hai, ishq hi aayat, ishq dua hai
Ishq ibaadat, ishq khuda hai, ishq hi aayat, ishq dua hai
Ishq ibaadat, ishq khuda hai, ishq hi aayat, ishq dua hai
“Ishq bezuban hai,” keh do na