Tere dar pe aake tham gaye, naina namazi ban gaye
Ek-dooje mein yoon dhal ke aashiqana aayat ban gaye, main aur tum
Kaisi dil lagayi kar gaye? Rooh ki rubaai ban gaye
Khaali-khaali dono the jo, thoda sa dono bhar gaye, main aur tum
Chalo ji aaj saaf-saaf kehta hoon
Itni si baat hai, “Mujhe tum se pyaar hai”
Yoon hi nahi main tum pe jaan deta hoon
Itni si baat hai, “Mujhe tum se pyaar hai”
Chalo ji aaj saaf-saaf kehta hoon
Itni si baat hai, “Mujhe tum se pyaar hai”
Mujhe tum se pyaar hai
Lage na yeh dhoop zaroori, lage na yeh chhanv zaroori
Milte hain ishq zameen par, ab do hi naam zaroori, main aur tum
Oh, apna khuda bhi hoga, apna hi rabb le lenge
Khud ki bana ke duniya yeh zindagi jee lenge, main aur tum
Chalo ji aaj saaf-saaf kehta hoon
Itni si baat hai, “Mujhe tum se pyaar hai”
Yoon hi nahi main tum pe jaan deta hoon
Itni si baat hai, “Mujhe tum se pyaar hai”
Mujhe tum se pyaar hai
Ek tum, ek main, teeja maangu kya khuda se?
Dil doon, jaan doon, kya doon itna bata de
Tera-mera rishta hai saanson se bhi naazuk
Tum sa, hum sa dooja na hoga, na hua re
Do dil sa ek seene mein hai, jaise main aur tum
Ab dono hum ek jeene mein hain, jaise main aur tum
Jaan se zyada chaaha tum ko, piya re
Har pal, hardam, hamdam, tumko jiya re
Aaj saaf-saaf kehta hoon