Ja Tujhe Maaf Kiya Lyrics

Lyrics & meaning

Do Bol

Aima BaigNabeel Shaukat Ali

ReleasedAugust 5, 2023 GenreSoundtrack

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Ja tujhe maaf kiya
Ja tujhe maaf kiya, oh

Pyaar ki raah mein mujhko yoon chhodne waale
Pyaar ki raah mein mujhko yoon chhodne waale
Ja tujhe maaf kiya
Ja tujhe maaf kiya, dil ko todne waale
Pyaar ki raah mein mujhko yoon chhodne waale

Sitam hai khudaya, kyun pyaar banaya?
Jo loote dil ka jahaan
Dil itna rulaya, hai gam muskuraya
Ke apne hain anjaan

Toot kar pyaar kare dil jo, bikhar jaata hai
Toot kar pyaar kare dil jo, bikhar jaata hai
Ishq toh saamne aankhon ke mukar jaata hai

Apni dhadkan ko mere dil se jodne waale
Ja tujhe maaf kiya dil ko todne waale
Bojh hai dil pe mohabbat ka, utaarun kaise?
Bojh hai dil pe mohabbat ka, utaarun kaise?
Keh ke do bol hi ek umr guzaarun kaise?

Rakh de paimaane pe, apno ko tolne waale
Ja tujhe maaf kiya, dil ko todne waale

Sitam hai khudaya, kyun pyaar banaya?
Jo loote dil ka jahaan
Dil itna rulaya, hai gam muskuraya
Ke apne hain anjaan