Jeene ke liye socha hi nahi female lyrics

Lyrics & meaning

Jeene Ke Liye Socha Hi Nahi – Female

GenreIndian Pop

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Tujhse naaraz nahi, zindagi
Hairaan hoon main, oh, haiaran hoon main
Tere masoom sawalon se
Pareshan hoon main, oh, pareshan hoon main

Tujhse naaraz nahi, zindagi
Hairaan hoon main, oh, haairan hoon main

Jeene ke liye socha hi nahi, dard sambhaalne honge
Jeene ke liye socha hi nahi, dard sambhaalne honge
Muskuraaye to muskuraane ke karz utaarne honge
Muskuraaun kabhi to lagta hai
Jaise honthon pe karz rakha hai

Tujhse naaraz nahi, zindagi
Hairaan hoon main, oh, hairaan hoon main

Tujhse naraaz nahi, zindagi
Hairaan hoon main, oh, hairaan hoon main
Tere maasoom sawalon se
Pareshaan hoon main, oh, pareshaan hoon main

Aaj agar bhar aayi hain, boondein bars jayengi
Aaj agar bhar aayi hain, boondein bars jayengi
Kal kya pata inke liye aankhein taras jayengi

Jaane kab gum hua, kahan khoya?
Ek aansoo chhupa ke rakha tha

Tujhse naaraz nahi, zindagi
Hairaan hoon main, hairaan hoon main
Tere masoom sawalon se
Pareshaan hoon main, oh, pareshaan hoon main

Oh, pareshaan hoon main
Oh, pareshaan hoon main