
Choose your script
Read the Song Lyrics
Aasmaan bhi haarta hai
Zameen pe waqt guzaarta hai
Phir se un unchaaiyon ki chaah mein
Zindagi jo toot’ti hai
Ummeed saari roothti hai
Hausla mil hi jaata hai raah mein
Phir udega dil un udaanon mein
Phir ladega dil do jahaanon se
Jeetne ke liye
Oh-oh, oh-oh
Jeetne ke liye
Hey-hey, hey-hey
Jeetne ke liye
Kehte hain yeh iraade sabhi
“Toota hoon main, bikhra nahi
Dhoop mein jo pighal jaaye
Main woh barf ka tukda nahi”
Na darega dil in toofanon se
Phir ladega dil do jahaanon se
Jeetne ke liye
Whoa-oh, whoa-oh
Jeetne ke liye
Hey, yeah, hey, yeah
Jeetne ke liye
Din mein dekhi raatein kayi
Hone lagi subah nayi
Andheron ki daraaron se ab
Dikhne lagi hai roshni
Na darega dil imtihano se
Phir ladega dil do jahaanon se
Jeetne ke liye
Whoa-oh, whoa-oh
Jeetne ke liye, hey, hey
Jeetne ke liye
आसमाँ भी हारता है
ज़मीं पे वक्त गुज़ारता है
फिर से उन ऊँचाइयों की चाह में
ज़िंदगी जो टूटती है
उम्मीद सारी रूठती है
हौसला मिल ही जाता है राह में
फिर उड़ेगा दिल उन उड़ानों में
फिर लड़ेगा दिल दो जहानों से
जीतने के लिए
Oh-oh, oh-oh
जीतने के लिए
Hey-hey, hey-hey
जीतने के लिए
कहते हैं ये इरादे सभी
“टूटा हूँ मैं, बिखरा नहीं
धूप में जो पिघल जाए
मैं वो बर्फ़ का टुकड़ा नहीं”
ना डरेगा दिल इन तूफ़ानों से
फिर लड़ेगा दिल दो जहानों से
जीतने के लिए
Whoa-oh, whoa-oh
जीतने के लिए
Hey, yeah, hey, yeah
जीतने के लिए
दिन में देखी रातें कई
होने लगी सुबह नई
अँधेरों की दरारों से अब
दिखने लगी है रोशनी
ना डरेगा दिल इम्तिहानों से
फिर लड़ेगा दिल दो जहानों से
जीतने के लिए
Whoa-oh, whoa-oh
जीतने के लिए, hey, hey
जीतने के लिए
