jeevan ko kya naam dun lyrics

Lyrics & meaning

Jeevan Ko Kya Naam Dun

GenreIndian Pop

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Chaand pe chhayi kaali badli
Raat ki syaahi pighle-pighle
Samay ki suiyaan machli-machli
Har roz fiza yeh badle-badle

Iss wajood ki paribhasha bhi
Pal mein gehri, pal mein uthli
Jeevan ko kya naam dun bolo
Saansein gayi aur saansein nikli

Bahar baarish, bheetar bijli
Baatein kar do agli-pichhli
Jeevan ko kya naam dun bolo
Saansein gayi aur saansein nikli

Bahein havayein saayein-saayein
Tanhai ne karvat badli
Thak kar soyi hai kahan pe
Rangeele khwabon ki titli?

Bahar baarish, bheetar bijli
Aur ummidein dubli-patli
Jeevan ko kya naam dun bolo
Dono jhoothe, asli-naqli