Salaam Lyrics

Lyrics & meaning

Salaam

Alka Yagnik

FromUmrao Jaan ReleasedOctober 4, 2006

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Lakh is dil ko humne samjhaya
Dil yahan phir bhi humko le aaya
Salaam, salaam

Tumhari mehfil mein aa gaye hain
Tumhari mehfil mein aa gaye hain
Toh kyun na hum yeh bhi kaam kar lein?

Salaam karne ki aarzoo hai
Salaam karne ki aarzoo hai
Idhar jo dekho, salaam kar lein

Tumhari mehfil mein aa gaye hain
Toh kyun na hum yeh bhi kaam kar lein?
Salaam karne ki aarzoo hai
Idhar jo dekho, salaam kar lein

Yeh dil hai jo, aa gaya hai tum par
Wagarna sach yeh hai banda parvar
Yeh dil hai jo, aa gaya hai tum par
Wagarna sach yeh hai banda parvar

Jise bhi hum dekh lein palat kar
Jise bhi hum dekh lein palat kar
Usi ko apna gulaam kar lein
Salaam karne ki aarzoo hai
Idhar jo dekho, salaam kar lein

Bahut si baatein hain tum ko kehni
Bahut si baatein hain hum ko kehni
Bahut si baatein hain tum ko kehni
Bahut si baatein hain hum ko kehni

Kabhi jo tanha milo kahin tum
Kabhi jo tanha milo kahin tum
Toh baatein hum yeh tamaam kar lein
Salaam karne ki aarzoo hai
Idhar jo dekho, salaam kar lein

Woh Laila-Majnu ki ho mohabbat
Ki Shirin-Farhad ki ho ulfat
Woh Laila-Majnu ki ho mohabbat
Ki Shirin-Farhad ki ho ulfat

Zara si tum jo dikhao jurrat
Zara si tum jo dikhao jurrat
Toh hum bhi un jaisa naam kar lein

Tumhari mehfil mein aa gaye hain
Toh kyun na hum yeh bhi kaam kar lein?
Salaam karne ki aarzoo hai
Idhar jo dekho, salaam kar lein