Khoob-ruon ko koi yeh ittelah kar de ke ab
Chashm ki talwaar se yoon waar karna jurm hai
Ghair-waajib hai adaaon se yeh sab dil-doziyaan
In labon se sharbati guftaar karna jurm hai

Yeh iraade kaunse hain? Kaise yeh aqhlaaq hain?

Sitamzadgi ki kataaron mein khade ushshaaq hain
Fitratan waada-faroshi hi agar karni hai toh
Pukhtgi se iss qadar iqraar karna jurm hai
Ghair-waajib hai adaaon se yeh sab dil-doziyaan
In labon se sharbati guftaar karna jurm hai
Ehtiyaatan raabta kariye, guzaarish hai zara
Uss khuda se kam-az-kam dariye, guzaarish hai zara

Ek ho sakte nahi ‘gar dil toh phir zaahir hai ke
Bas shararat se nigaahein chaar karna jurm hai
Ghair-waajib hai adaaon se yeh sab dil-doziyaan
In labon se sharbati guftaar karna jurm hai
Jo maraasim mein mohabbat ki mehek barsayenge
Kashmakash hogi toh woh ehsaas maare jayenge

Talkh mausam surkh jazbe ko muaafiq hi nahi

Dekhiye aise gulon ko khaar karna jurm hai
Ghair-waajib hai adaaon se yeh sab dil-doziyaan
In labon se sharbati guftaar karna jurm hai
Jaante hain phir koi imdaad ho na paayegi

Hijr se veeran rooh aabaad ho na paayegi
Ghair-mumkin hai agar teemardaari aapse
Ishq se, Sartaaj, phir beemar karna jurm hai