Woh tujhe mujhse bhi kayi zyada chaahta hai?
Woh tujhe logon mein apna batata hai?
Woh tujhe palkon pe bitha ke laad kare?
Woh tere liye khud se likh ke kuch gaata hai?
Woh teri gali mein deta hai pehre?
Woh teri baatein poori hone tak thehre?
Woh tere ashkon ko chand nazmon se bayaan kare?
Kya tujhe jo lage bura uska woh dhyaan kare?
Woh bhi ab teri aankhon ka sukoon hai?
Kya usko bhi tujhe bas paane ka junoon hai?
Kya usne tode tere liye sab naate hain?
Kya mujhe bhoole chuki ya bas yeh sab baatein hain?
Kya tu khush hai? Kya tu khush hai? Kya tu khush hai?
Fake smile, kya tu kar rahi khud ko push hai?
Thi jab tu meri, kitne qisse thi sunaati tu
Log hain bataate, ab tu rehti chup hai
Kya tu khush hai? Kya tu khush hai? Kya tu khush hai?
Fake smile, kya tu kar rahi khud ko push hai?
Thi jab tu meri, kitne qisse thi sunaati tu
Log hain bataate, ab tu rehti chup hai
Haath thaam ke chalta tera us paar
Kaash peeche mud ke dekhte mujhe ek baar
Kya kami thi mujhmein jaane, kyun gile the mujhse saare?
Pal jo beete, bhoole tum jo yoon
Ban gaye ek do anjaane, kal to the mere sirhaane
Raaste mein khoye main aur tum
Phir kyun haar main na maan ke aaya phir se tere paas?