Tu ab apna-apna sa lagta hai
Tu us jalti basti ka rasta hai
Tujhe tootne ka khauf aata hai
Tu woh makaan hai jo thoda khasta hai
Main naam loon tera toh yeh dil baagh-baagh hai
Kya tujhe maanga nahi ibaadaton mein jaag-jaag ke?
Main nikal gaya saahilon par paak-raat mein
Main toh jee raha hoon zindagi ek khwaab maan ke
Tum toh khwaab ho gaye ho
Mere khat ka jawaab ho gaye ho
Usi baagh mein khade hain phool todne ko, jaanam
Tum toh kaanton mein gulaab ho gaye ho
Jo samajh mein nahi aayi ho tum aaj tak
Tum Jaun ki kitaab ho gaye ho
Pehle thode se the yaad mein tum meri
Ab behisaab ho gaye ho
Hum maan’ne ko raazi hain woh teri shartein
Besaakhta khade hain tere dar pe
Socha loot loon wafayein phir ek baar
Suna hai khaali haath nahi jaate kisi ghar pe
Ab hum an-qareeb ajnabi
Ab hum nazrein na milayein kabhi
Ab iss dil ko khaaye ek kami
Tu nahi raaz aaya mujhe
Kabhi nahi, kabhi nahi
Kabhi nahi, kabhi nahi
Kabhi nahi, kabhi nahi
Kabhi nahi, kabhi nahi
Woh na aaya jo lakh bura hai
Shayad uljhanon mein hi ghira hai
Saare phool jhad gaye hain khiza se
Chal padi phir hijar ki hawayein
Aankhein thak jaati hain
Tasveerein kehne lag jaati hain
Kya likhun husn par ab tere
Zulfein mohalla mehkati hain
Kitaabon ka pyaar dhoondhta hoon
Beshumar jhoomta hoon
Kabhi le khabar
Main zindagi se bezaar ghoomta hoon
Ab hum an-qareeb ajnabi
Ab hum nazrein na milayein kabhi
Ab iss dil ko khaaye ek kami
Tu nahi raaz aaya mujhe
Kabhi nahi, kabhi nahi
Kabhi nahi, kabhi nahi
Kabhi nahi, kabhi nahi
Kabhi nahi, kabhi nahi