kahani suno lyrics

Lyrics & meaning

Kahani Suno 2.0

Kaifi Khalil

GenrePop

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Kahani suno, haan, zubaani suno
Mujhe pyaar hua tha, iqraar hua tha
Kahani suno, haan, zubaani suno
Mujhe pyaar hua tha, iqraar hua tha
Mujhe pyaar hua tha, iqraar hua tha

Deewana hua, mastana hua
Teri chaahat mein kitna fasaana hua
Tere aane ki khushboo, tere jaane ka manzar
Tujhe milna padega, ab zamaana hua

Sadayein suno, haan, jafayein suno
Mujhe pyaar hua tha, iqraar hua tha
Mujhe pyaar hua tha, iqraar hua tha

Hai tamanna humein tumhein dulhan banayein
Tere haathon pe mehendi apne naam ki sajayein
Teri le lein balayein, tere sadqe utaarein
Hai tamanna humein tumhein apna banayein

Nahi mushkil wafa, zara dekho yahan
Teri aankhon mein basta hai mera jahan
Kabhi sun toh zara jo main keh na saka
Meri duniya tum hi ho, tum hi aasraa

Duayein suno, haan, sazayein suno
Mujhe pyaar hua tha, iqraar hua tha
Kahani suno, haan, zubaani suno
Mujhe pyaar hua tha, iqraar hua tha

Mujhe pyaar hua tha
Pyaar hua tha
Pyaar hua tha
Pyaar hua tha