Baarishon ki shaamon me jo
Khidkiyon se baadalon ko
Dekhte aankhon ko moondein
Choomte hothon se boondein
Saundi khusbooein mitti ki
Thi bhulati fikr kal ki
Kaagazon ki kashtiyon me
Hum bahate raaz apne
Kahan woh din gaye?
Kahan woh kho gaye?
Kahan woh din gaye?
Kahan woh kho gaye?
Kohre me doobi seher ki
Hum nikalte sair karne
Doobne lagta jo suraj
Dhoondhte chaadar ke kone
Kaanpti Sardi ki raatein
Aanch pe sikte woh daane
Khaat par phir late kar jo
Gungunate the taraane
Kahan woh din gaye?
Kahan woh kho gaye?
Kahan woh din gaye?
Kahan woh kho gaye?
Ab na daudenge gali me
Hum patango ko pakadne
Door se hi dekh lenge
Khel sab apni pasand ke
Ab na daudenge gali me
Hum patango ko pakadne
Door se hi dekh lenge
Khel sab apni pasand ke
Aur iss paar, kya hai mila?
Jebein bhari hain, sukoon kahan
Kya haasil ho ke yahan?
Sab reh gaya hai dekho wahan
Aur iss paar, kya hai mila?
Jebein bhari hain, sukoon kahan
Kya haasil ho ke yahan?
Sab reh gaya hai dekho wahan…