Khamoshiyan aavaaz hain
Tum sunne toh aao kabhi
Chhookar tumhein khil jayengi
Ghar inko bulaao kabhi
Beqaraar hain baat karne ko
Kehne do inko zara
Khamoshiyan, teri-meri khamoshiyan
Khamoshiyan, lipti hui khamoshiyan
Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua
Jahan se zamaane ko guzre zamaana hua?
Mera samay toh wahin pe hai thehra hua
Bataun tumhein kya mere saath kya-kya hua
Hmm, khamoshiyan ek saaz hai
Tum dhun koyi laao zara
Khamoshiyan alfaaz hain
Kabhi aa, gunguna le zara
Beqaraar hain baat karne ko
Kehne do inko zara
Khamoshiyan, teri-meri khamoshiyan
Khamoshiyan, lipti hui khamoshiyan
Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahan
Khili chaandni mein chhipi lakh khamoshiyan
Baarish ki boondo ki hoti kahan hai zubaan
Sulagte dilon mein hai khamosh uthta dhuan
Khamoshiyan aakaash hain
Tum udne toh aao zara
Khamoshiyan ehsaas hain
Tumhein mehsoos hoti hain kya?
Beqaraar hain baat karne ko
Kehne do inko zara
Khamoshiyan, teri-meri khamoshiyan
Khamoshiyan, lipti hui khamoshiyan
Khamoshiyan, teri-meri khamoshiyan
Khamoshiyan, lipti hui khamoshiyan