Samjha tha tune jaise, kab dil tha mera aise
Jab tootkar tha chaaha, phir bewafa thi kaise?

Saari chaahat tere liye thi meri aankhon mein
Tera hi bas naam tha baaqi meri yaadon mein
Phir bhi hai gila mujhse toh tujhe main yeh bata dungi
Kya hoti hai bewafai, tujhe karke dikha dungi

Kisi dhoke mein na tu rehna, tujhe pal mein bhula dungi

Rabba, hai duhai, lage duniya kyun paraai?
Karti hoon wafa toh milti hai bewafai
Tujhpe hoga koi sitam toh tab tu jaanega
Cheerega dil jab koi gham toh tab tu maanega
Sheeshe ki tarah main tere bharam ko tod daalungi
Kya hoti hai bewafai, tujhe karke dikha dungi
Kya hoti hai bewafai, tujhe karke dikha dungi
Kisi dhoke mein na tu rehna, tujhe pal mein bhula dungi
Kisi dhoke mein na tu rehna, tujhe pal mein bhula dungi
Kya kuch gawaya maine, kuch bhi na paaya maine
Teri khushi ki khaatir har dukh uthaya maine

Jaane kaahe dono rahein hum phir bhi anjane
Haan, naino ki har pyaas bujha ke phir bhi begaane
Tanha toh roungi, tujhe bhi main rula dungi
Kya hoti hai bewafai…