Maana ke mujhse tu hai door kahin
Tu mera hai na, mujhko poora hai yaqeen
Maana ke mujhse tu hai door kahin
Tu mera hai na, mujhko poora hai yaqeen
Kyu kehna chaahun sab main? Tu sunta hi nahi hai
Dil kehna chaahe baatein, tu mera hi nahi hai
Aankhon ko tera deedar ab hota hi nahi hai
Waade the sab wafa ke, tu bewafa sahi hai
Khwabon ka ek basta hai, tu hi toh mera rasta hai
Firta hoon akela
Kya tu mujhko ab bhi samajhta hai?
Thak chuka hoon main shehron se, mujhe le ja kahin door
Jahan behti ho pyaari nadiya, iss bheed-bhaad se door
Pahadon ke paar, jahan ho wadiyon ka noor
Khwabon ka ek ghar ho humara, tu aana fir zaroor
Jab aankhein band karoon, teri aati hain woh yaadein
Tu bhi apne khwabon mein mujhe aa jaane de
Feeka lage mujhe tere bin iss jahan mein
Tu bhi apne rang mein mujhe rang jaane de
Kyu kehna chaahun sab main? Tu sunta hi nahi hai
Dil kehna chaahe baatein, tu mera hi nahi hai
Aankhon ko tera deedar ab hota hi nahi hai
Waade the sab wafa ke, tu bewafa sahi hai
Teri aankhon mein savera hai
Mere dil mein jo, haan, ghar yeh tera hai
Dil kehta hai na jaane kyun
Tu mera hai, haan, bas tu mera hai
Maana ke mujhse tu hai door kahin