King Lyrics

Lyrics & meaning

Na Ja Tu

King

FromChampagne Talk ReleasedOctober 12, 2022

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

I don’t wanna run away
I don’t wanna miss you, baby
But I can’t help myself
I’m losin’ you
Tell me what to do now

Ek-doosre ko jaante, itna toh kar hi sakte hain
Tu mujhko mauka de, chaahe dhoka de, bas

Yoon na ja tu, na ja tu
Tere bina main dhoondhta khud ko hi bas, main khoya hoon
Yoon na ja tu, na ja tu
Tere bina main dhoondhta khud ko hi bas, main khoya hoon

Tu lagti shama si thi, jeene ki wajah si thi
Ek din yoon hi jal uthi, main soch mein tha pad gaya ke
Jaane kya khata hui, ya yoon hi bewafa hui?
Ya dil se khelne ka shauq tha tujhe pad gaya?

Ab toota sa, bikhra sa ghoomun main raaton mein
Aasmaan dekha, taare barbaad ho gaye
Hum the napaak ho gaye, saare gande kaamon mein haath ho gaye
Pyaar ki safedi se saaf the, dhokon ki laali se laal ho gaye
Hum the napaak ho gaye, meri chotein dekh dard bhi maaf ho gaye

Yoon tum peecha na karo, mujhko ab jaane do
Theek ho jaaunga main, phir se aaunga main
Aisi baatein na karo jinse dil dukhta hai
Jab theek ho jaaunga main, tujhko bataunga

Main kyun marta hoon
Teri ek chhoti si muskaan bhi ab dekhne ko tarsa hoon
Main kyun karta hoon
Saari yeh baatein, taaki sun le tu, main keh doon bas

Yoon na ja tu, na ja tu
Tere bina main dhoondhta khud ko hi bas, main khoya hoon
Yoon na ja tu, na ja tu
Tere bina main dhoondhta khud ko hi bas, main khoya hoon

Yoon tum peecha na karo, mujhko ab jaane do
Theek ho jaaunga main, phir se aaunga main
Aisi baatein na karo jinse dil dukhta hai
Jab theek ho jaaunga main, tujhko bataunga main