Naino Se Naina Takraye Lyrics

Lyrics & meaning

Dhoonde Akhiyaan

Yasser Desai & Altamash Faridi

FromJabariya Jodi (Original Motion Picture Soundtrack) ReleasedJuly 19, 2019

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Mere saare vaade-vaade rah gaye aadhe
Hai qusoor kya? Hai qusoor kya?
Jeet ke bhi haare-haare, khwaab ye bechaare
Ye fitoor kya? Ye fitoor kya?

Duniya deewani, ishq na jaane
Duniya deewani, ishq na jaane
Dil to bas dil ko pehchaane

Naino se naina takraaye
Na jaane kya dhoonde akhiyaan (dhoonde akhiyaan)
Naino se naina takraaye
Na jaane kya dhoonde akhiyaan (dhoonde akhiyaan)

Kaise tumhein ye samjhaaye?
Na jaane kya dhoonde akhiyaan (dhoonde akhiyaan)

Heer na jaane, na jaane raanjha
Jaane ye kaisi door
Jude jaaye, to tode na toote
Ishq ki aisi door

Heer na jaane, raanjha na jaane
Jaane hai dil mera
Kahin pe jaake mil jaayega
Naam ye tera-mera

Heer na jaane, raanjha na jaane
Jaane hai dil mera
Kahin pe jaake mil jaayega
Naam ye tera-mera

Log deewane, dete hain taane
Log deewane, dete hain taane
Dil to bas dil ki hi maane

Naino se naina takraaye
Na jaane kya dhoonde akhiyaan (dhoonde akhiyaan)
Naino se naina takraaye
Na jaane kya dhoonde akhiyaan (dhoonde akhiyaan)

Kaise tumhein ye samjhaaye?
Na jaane kya dhoonde akhiyaan (dhoonde akhiyaan)

Tu jab-jab mujhse rootheega
Mera yaar, mera dil tooteega
Dil tooteega, jag chhooteega
Jab yaar tu mujhse rootheega

Tu jab-jab mujhse rootheega
Mera yaar, mera dil tooteega
Dil tooteega, jag chhooteega
Jab yaar tu mujhse rootheega

Duniya deewani (deewani)
Log deewane (deewane)
Ishq-khudaai (khudaai)
Kyun na ye jaane? (na jaane)