Nayee Nazar Lyrics

Lyrics & meaning

Nayee Nazar

Utsavi Jha

ReleasedFebruary 1, 2024 GenreIndian Pop

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Nayee nazar se mujhko dekho
Tumhare hain mere nazare, chun lo
Naye iraadon ko samajh lo
Tumhare hain mere fasane, sun lo

Yahin hoon main, yahin pe tum ho
Khuli nazar ke mere sapne bun lo
Yeh taazgi mein aao gum ho
Yahin-kahin chhupa hai jaadu, dhoondho

Shaam madhosh hai, dil bhi kamzor hai
Hawayein gaayein, magar hum kyun khamosh hain?

Dekh lo, dil humara badalne wala hai
Dekh lo, jo na hai woh aane wala hai
Hmm, dekh lo, dil humara badalne wala hai
Dekh lo, jo na hai woh aane wala hai

Jaan lo mujhe, main jaan loon tumhein
Chaahaton ki kashtiyon mein door chal padein
Haan, jaan lo mujhe, main jaan loon tumhein
Chaahaton ki kashtiyon mein door chal padein
Aao na, aao na

Khule taraane, yeh sitaare
Khuli ghatayein simti jaayein
Hum jugnuon se timtimayein
Kaha nahi jo kehte jaayein

Behke yoon na raho
Behke yoon na raho

Dekh lo, dil humara badalne wala hai
Dekh lo, jo na hai woh aane wala hai
Haan, dekh lo, dil humara badalne wala hai
Dekh lo, jo na hai woh aane wala hai