pyaar ki yeh kahani suno lyrics

Lyrics & meaning

Pyar Ki Yeh Kahani Suno

GenreBollywood

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Pyaar ki yeh kahani suno
Ek ladka tha, ek ladki thi
Hoti kya hai jawani suno
Ek ladka tha, ek ladki thi

Woh bhi ek daur tha, waqt hi aur tha
Jab woh the ajnabi
Dono tanha se the, par woh kehte kise
Baatein jo dil mein thi?

Pyaar ki yeh kahani suno
Ek ladka tha, ek ladki thi
Hoti kya hai jawani suno
Ek ladka tha, ek ladki thi

Woh bhi ek daur tha, waqt hi aur tha
Jab woh the ajnabi
Dono tanha se the, par wo kehte kise
Baatein jo dil mein thi?

Pyaar ki yeh kahani suno
Ek ladka tha, ek ladki thi
Hoti kya hai jawani suno
Ek ladka tha, ek ladki thi

Gumsum-gumsum rehte the dono
Phir bhi dil mein kehte the dono
Koi sapna hum bhi toh paayein

Ek din toote gham ke woh ghere
Jhilmil-jhilmil aaye sawere
Mausam badla, jaagi fizayein

Woh mil gaye, woh khil gaye
Aur pyaar ho hi gaya
Jo chaaha tha woh paaya
Toh hosh kho hi gaya

Pyaar ki yeh kahani suno
Ek ladka tha, ek ladki thi
Hoti kya hai jawani suno
Ek ladka tha, ek ladki thi

Haule-haule ab woh deewane
Gun-gun gaayein dil ke tarane
Sun-sun jhoomein saari hawaayein

Dhadkan-dhadkan hai behki-behki
Tan-man, tan-man chaahat hai mehki
Sapne apne jaadu jagaayein

Phir dekhoge toh jaanoge
Kya hai nasha pyaar ka
Yahi sochoge, yahi chahoge
Sang rahe yeh sada

Pyaar ki yeh kahani suno
Ek ladka tha, ek ladki thi
Hoti kya hai jawani suno
Ek ladka tha, ek ladki thi

Woh bhi ek daur tha, waqt hi aur tha
Jab wo the ajnabi
Dono tanha se the, par woh kehte kise
Baatein jo dil mein thi?

Pyaar ki yeh kahani suno
Ek ladka tha, ek ladki thi
Hoti kya hai jawani suno
Ek ladka tha, ek ladki thi