Saturday, December 21, 2024

Raabta

Raabta Lyrics | Raabta Lyrics Talha Anjum, Jokhay, Hashim Nawaz

Raabta (राबता) is an Urdu song from Jokhay’s album Khana Badosh, the song features Talha Anjum and Hashim Nawaz. Jokhay’s Raabta lyrics in Hindi and in the romanized form are provided below.

 

Listen to the complete track on Spotify

Romanized Script
Native Script

Yeah
Tu likhe dard (dard) toh main aage behisaab likhun (haan)
Tu likhe shaam, main gham, gile aur sharaab likhun
Tu guzra zamaana lage (zamaana), main tujh pe kitaab likhun
Riyaazi kamzor meri
Duniya gadbadi karti hisaab mein kyun? (kyun?)

Khuli kitaab bhi hoon, rehta hoon khud mein ek raaz sa kyun?
Urdu rap ko main laazim hoon
Urdu rap pe main naazil hoon (yeah, yeah)
Apne khwaab kiye poore
Apnon ki ummid-e-naaz ka qaatil hoon
Apne khwab kiye poore
Khwaab manzil hai aur main ek musafir hoon (words)

Khuda ne di hai yeh izzat, qasam khuda ki
Main nahi tha is laayak bhi (nahi-nahi)
Angrezi rappers ko sunta tha
Tooti-footi jaisi bhi samajh aayi thi
Main sirf karna chaahta shaayri
Meri kala lagi logon ko kaahili (yeah)
Maan ne har khwahish ki poori
Zaroorat mein bani baap bhi, bhai bhi

Main likhta nahi kalam se
Kahin aansuon se bikhar jaaye na shaayari
Andar se ham sab udaas hain, muskurahatein hain zaahiri
Came from a broken family
Music hi mera escape tha
Mud ke ab dekhta, haal ajeeb tha
Ab main laakhon mein yeh gaane bechta
Ab main kehta hoon zindagi stage si
Jo main na karoon wo nahi mainstream
Main badtameez, lekin mehnati (yeah, yeah)
Main fans ke dil mein rahoon rent free

Meri jebon mein note bhare pant ki
I only show you what you can see
Maine jaan laga di ki log mujhe jaanein
Ab irritate karti attention
Mujhe khoke pe log rokein photo ke liye
Pasand nahi hai nikalna ghar se
Zimmedari se kehta hoon, gusse ki asal wajah
Aksar banti charas hai
Hum maslon ko dekhte hain face value pe
Nahi pakad paate unhein jad se
Main sunaane baitha jo apni toh poochoge
“Kya woh dard bhi dard the?” Par…

Abhi ja nahi’
Dil khaali hai, teri zaroorat hai, nazrein bula rahi
Abhi ja nahi

Jiske hone se tha saaya kadi dhoop mein
Jo sach dhoondh leta tha mere har jhooth mein
Rishte amar hain, yeh raabte nahi toot’te, abhi ja nahi
Jiske hone se tha saaya kadi dhoop mein
Jo sach dhoondh leta tha mere har jhooth mein
Rishte amar hain, yeh raabte nahi toot’te, abhi ja nahi

Tha wakt jab, kehne ko lafz nahi the
Ab jab lafz hain, wakt nahi
Each day tera bhai kara evolve
Baaki yeh launde hain ab bhi wahin
Nahi banegi tu meri fantasy (girl)
But still you’ll be my fan to see me rap
Inke liye na kabhi karta hoon gaadi reverse
Phir karoonga main kaise inhein back?

Log karte shor, jinke beech hoon main
Jo bhi sune mujhe uske kareeb hoon main
Rangeen hoon, gareebon ki sohbat se door ho ke
Samajh baitha khud ko ameer hoon main
Mere saath waale saath waale kamre mein
Aur is kamre mein gair mere saath hain
Thoda jaag raha, zyada main sapne mein
Avaam kab tak karoonga bardaasht yeh?

“Zarf baant de,” bole kalam mere haath mein
Kabhi-kabhi hote sher bina kaafiye
Mehmaan saare apne hi gharon mein
Insaan sada mohtaaj agli saans ke
Inhein khush karna lage mehez hasrat
Mukhtalif log lete mukhtalif matlab
In baaton ka main wakt kaise nikaal ke dekhoon?
Ke hain yeh naraaz ya karte hain nafrat?

Khair, jo bhi hai, inka shukriya
Jis-jis ne bhi likhne ko lafz diya
Paas takht, inki jodta par kursiyan
Begarz thoda khud ko hai kar diya
Maine ghar diya inke dilon mein khud ko
Jaati over headlines meri khabar tum ko
Main ek taalib-ilm tha, khojta javaab
Kaafi liya seekh, lekin dhoondh paya nahi khud ko

Khana-badosh main, do mujhe dosh nahi (ayy)
Tum mujhe jaante, bas ho mere dost nahi
Agar main khalayi makhlooq tere mutaabiq
Toh mere aage yoon hava mein daud nahi, huh
Toofan, tera bhai jab bhi kare kaam
If I drink and drive toh traffic honi nahi jaam
Zehen pe zor de, kaun main bol de
Bhai tera koyle mein heera, khulte inke nahi kaan

Mujhe na pata kya mera level hai
Kya yeh lete hain mera naam
Main rahoonga yahan par, kahoonga
“Kiya tha rap Talha Anjum ke saath”
Main side’en nahi leta
Tum meri is aadat ki wajah se ho na naraaz?
Inki nazar mein hoon kya kuch nahi main
Jo nahi toh bas kalakaar

Abhi ja nahi’
Dil khaali hai, teri zaroorat hai, nazrein bula rahi
Abhi ja nahi

Jiske hone se tha saaya kadi dhoop mein
Jo sach dhoondh leta tha mere har jhooth mein
Rishte amar hain, yeh raabte nahi toot’te, abhi ja nahi
Jiske hone se tha saaya kadi dhoop mein
Jo sach dhoondh leta tha mere har jhooth mein
Rishte amar hain, yeh raabte nahi toot’te, abhi ja nahi

Yeah
तू लिखे दर्द (दर्द), तो मैं आगे बेहिसाब लिखूँ (हाँ)
तू लिखे शाम, मैं ग़म गिले और शराब लिखूँ
तू गुज़रा ज़माना लगे (ज़माना), मैं तुझ पे किताब लिखूँ
रियाज़ी कमज़ोर मेरी
दुनिया गड़बड़ी करती हिसाब में क्यूँ? (क्यूँ?)

खुली किताब भी हूँ, रहता हूँ ख़ुद में एक राज़ सा क्यूँ?
उर्दू rap को मैं लाज़िम हूँ
उर्दू rap पे मैं नाज़िल हूँ (yeah, yeah)
अपने ख़्वाब किए पूरे
अपनों की उम्मीद-ए-नाज़ का क़ातिल हूँ
अपने ख़्वाब किए पूरे
ख़्वाब मंज़िल है और मैं एक मुसाफ़िर हूँ (words)

ख़ुदा ने दी है ये इज़्ज़त, क़सम ख़ुदा की
मैं नहीं था इस लायक भी (नहीं-नहीं)
अंग्रेज़ी rappers को सुनता था
टूटी-फूटी जैसी भी समझ आई थी
मैं सिर्फ़ करना चाहता शायरी
मेरी कला लगी लोगों काहिली (yeah)
माँ ने हर ख़्वाहिश की पूरी
ज़रूरत में बनी बाप भी, भाई भी

मैं लिखता नहीं कलम से
कहीं आँसुओं से बिखर जाए ना शायरी
अंदर से हम सब उदास हैं, मुस्कुराहटें हैं ज़ाहिरी
Came from a broken family
Music ही मेरा escape था
मुड़ के अब देखता, हाल अजीब था
अब मैं लाखों में ये गाने बेचता
अब मैं कहता हूँ ज़िंदगी stage सी
जो मैं ना करूँ वो नहीं mainstream
मैं बदतमीज़, लेकिन मेहनती (yeah, yeah)
मैं fans के दिल में रहूँ rent free

मेरी जेबों में note भरे pant की
I only show you what you can see
मैंने जान लगा दी कि लोग मुझे जानें
अब irritate करती attention
मुझे खोखे पे लोग रोकें photo के लिए
पसंद नहीं है निकलना घर से
ज़िम्मेदारी से कहता हूँ, ग़ुस्से की असल वजह
अक्सर बनती चरस है
हम मसलों को देखते हैं face value पे
नहीं पकड़ पाते उन्हें जड़ से
मैं सुनाने बैठा जो अपनी तो पूछोगे
“क्या वो दर्द भी दर्द थे?” पर…

अभी जा नहीं
दिल ख़ाली है, तेरी जरूरत है, नज़रें बुला रहीं
अभी जा नहीं

जिस के होने से था साया कड़ी धूप में
जो सच ढूँढ लेता था मेरे हर झूठ में
रिश्ते अमर हैं, ये राबते नहीं टूटते, अभी जा नहीं
जिस के होने से था साया कड़ी धूप में
जो सच ढूँढ लेता था मेरे हर झूठ में
रिश्ते अमर हैं, ये राबते नहीं टूटते, अभी जा नहीं

था वक्त जब, कहने को लफ़्ज़ नहीं थे
अब जब लफ़्ज़ हैं, वक़्त नहीं
Each day तेरा भाई करा evolve
बाक़ी ये लौंडे हैं अब भी वहीं
नहीं बनेगी तू मेरी fantasy (girl)
But still you’ll be my fan to see me rap
इनके लिए ना कभी करता हूँ गाड़ी reverse
फिर करूँगा मैं कैसे इन्हें back?

लोग करते शोर, जिनके बीच हूँ मैं
जो भी सुने मुझे उसके क़रीब हूँ मैं
रंगीन हूँ, ग़रीबों की सोहबत से दूर हो के
समझ बैठा ख़ुद को अमीर हूँ मैं
मेरे साथ वाले साथ वाले कमरे में
और इस कमरे में ग़ैर मेरे साथ हैं
थोड़ा जाग रहा, ज़्यादा मैं सपने में
अवाम कब तक करूँगा बर्दाश्त ये?

“ज़र्फ़ बाँट दे,” बोले कलम मेरे हाथ में
कभी-कभी होते शेर बिना क़ाफ़िए
मेहमान सारे अपने ही घरों में
इंसान सदा मोहताज अगली साँस के
इन्हें ख़ुश करना लगे महज़ हसरत
मुख़्तलिफ़ लोग लेते मुख़्तलिफ़ मतलब
इन बातों का मैं वक़्त कैसे निकाल के देखूँ
कि हैं ये नाराज़ या करते हैं नफ़रत?

ख़ैर, जो भी है, इनका शुक्रिया
जिस-जिस ने भी लिखने को लफ़्ज़ दिया
पास तख़्त, इनकी जोड़ता पर कुर्सियाँ
बेग़र्ज़ थोड़ा ख़ुद को है कर दिया
मैंने घर दिया इनके दिलों में ख़ुद को
जाती over headlines मेरी ख़बर तुम को
मैं एक तालिब-इल्म, खोजता जवाब
काफ़ी लिया सीख, लेकिन ढूँढ पाया नहीं ख़ुद को

ख़ाना-बदोश मैं, दो मुझे दोष नहीं (ayy)
तुम मुझे जानते, बस हो मेरे दोस्त नहीं
अगर मैं ख़लाई मख़लूक़ तेरे मुताबिक़
तो मेरे आगे यूँ हवा में दौड़ नहीं, huh
तूफ़ान, तेरा भाई जब भी करे काम
If I drink and drive तो traffic होनी नहीं जाम
ज़ेहन पे ज़ोर दे, कौन मैं बोल दे
भाई तेरा कोयले में हीरा, खुलते इनके नहीं कान

मुझे ना पता क्या मेरा है level
क्या ये लेते हैं मेरा नाम
मैं रहूँगा यहाँ पर, कहूँगा
“किया था rap Talha Anjum के साथ”
मैं साइडें नहीं लेता
तुम मेरी इस आदत की वजह से हो ना नाराज़?
इनकी नज़र में हूँ क्या कुछ नहीं मैं
जो नहीं तो बस कलाकार

अभी जा नहीं
दिल ख़ाली है, तेरी जरूरत है, नज़रें बुला रहीं
अभी जा नहीं

जिस के होने से था साया कड़ी धूप में
जो सच ढूँढ लेता था मेरे हर झूठ में
रिश्ते अमर हैं, ये राबते नहीं टूटते, अभी जा नहीं
जिस के होने से था साया कड़ी धूप में
जो सच ढूँढ लेता था मेरे हर झूठ में
रिश्ते अमर हैं, ये राबते नहीं टूटते, अभी जा नहीं

Song Credits

Lyricist(s):
Jokhay, Talha Anjum, Hashim Nawaz
Composer(s):
Jokhay
Music:
Jokhay
Music Label:
Jokhay
Featuring:
Talha Anjum

Official Video

You might also like

Get in Touch

12,038FansLike
13,982FollowersFollow
10,285FollowersFollow

Other Artists to Explore

Aima Baig

Megan Thee Stallion

Zeph

Neoni

Nimrat Khaira