Deep jalaao, mangal gaao
Aaj Avadh ko khoob sajaao
Na jaane paanv dharein kahan Bhagwan
Galiyon pe apni palkein bichhao
Na rahe koi kami swagat mein
Ayodhya ke raja aaye hain
Haan, manaao Diwali aaj dil khol ke
Janmbhoomi ke laal Ram aaye hain
Ho, kar ke vanvaas poori laut apne Avadh
Janmbhoomi ke laal Ram aaye hain
Ram aaye hain, aaye hain, Ram aaye hain
Ram aaye hain, aaye hain, Ram aaye hain
Haan, manaao Diwali aaj dil khol ke
Janmbhoomi ke laal Ram aaye hain
Ho, kar ke vanvaas poori laut apne Avadh
Janmbhoomi ke laal Ram aaye hain
Brahma, Vishnu, Mahesh dekhne aaye aagaman tumhara
Aaj Ayodhya ki dharti pe swarg se sajaa nazaara
Ho, Brahma, Vishnu, Mahesh dekhne aaye aagaman tumhara
Aaj Ayodhya ki dharti pe swarg se sajaa nazaara
Tar gaye dharti ke saare praani
Hai yeh pratiksha ki amar kahani
Panchhi bhi rahiyan dekh rahe hain
Ayodhya ke raja aaye hain
Haan, manaao Diwali aaj dil khol ke
Janmbhoomi ke laal Ram aaye hain
Ho, kar ke vanvaas poori laut apne Avadh
Janmbhoomi ke laal Ram aaye hain
Soona Avadh ka kona-kona Raghuvar tum bin tha
Tumre charan ke bina jo beeta woh bhi kya din tha
Soona Avadh ka kona-kona Raghuvar tum bin tha
Tumre charan ke bina jo beeta woh bhi kya din tha
Tumse Ayodhya nagri humari
Ram se Ram ki ginti humari
Lakshman Sita Maa sang laayi
Ayodhya ke raja aaye hain
Haan, manaao Diwali aaj dil khol ke
Janmbhoomi ke laal Ram aaye hain
Ho, kar ke vanvaas poori laut apne Avadh
Janmbhoomi ke laal Ram aaye hain
Ram aaye hain, aaye hain, Ram aaye hain
Ram aaye hain, aaye hain, Ram aaye hain
Haan, Ayodhya ke bhaag aaj jaag gaye hain, Ram aaye hain

Ram aaye hain, Ram aaye hain, Ram aaye hain