Rang The Noor Tha Lyrics

Lyrics & meaning

Hamari Adhuri Kahani (Title Track)

Arijit Singh

FromHamari Adhuri Kahani ReleasedMay 21, 2015

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Paas aaye, dooriyan phir bhi kam na hui
Ek adhuri si hamari kahani rahi

Aasmaan ko zameen yeh zaroori nahi
Jaan le, jaan le
Ishq sachcha wahi jisko milti nahi
Manzilein, manzilein

Rang the, noor tha, jab qareeb tu tha
Ek jannat sa tha yeh jahan
Waqt ki ret pe kuch mere naam sa
Likh ke chhod gaya tu kahan?

Hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani

Khushbuon se teri yoon hi takra gaye
Chalte-chalte dekho na hum kahan aa gaye

Jannatein ‘gar yahin, tu dikhe kyun nahi?
Chaand-sooraj sabhi hain yahan
Intezaar tera sadiyon se kar raha
Pyaasi baithi hai kab se yahan

Hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani

Pyaas ka yeh safar khatam ho jayega
Kuch adhura sa jo tha, poora ho jayega

Jhuk gaya aasmaan, mil gaye do jahan
Har taraf hai milan ka samaan
Doliyaan hain saji, khushbuein har kahin
Padhne aaya khuda khud yahan

Hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani