Har roz dil ka rasta tumhare ghar se guzarta tha
Dooriyan badhti gayi, par dil phir bhi dhadakta tha
Aakhir ek anjaan mod par hum bichhadkar reh gaye
Zamaane se zyada mohabbat kari thi
Isliye shayad yeh zakham seh gaye
Dil diya tha, keh ke tujhko
“Dil yeh mera tera ho gaya”
Ghar tha baitha shaam ko tere
Raat se, haan, savera ho gaya
Saalon ka rishta anjaana ho gaya
Tumse mile the, haan, zamaana ho gaya
Milne ko tadpe, begaana ho gaya
Dil mera dhadke zamaana ho gaya
Rooh-e-daari, rishtedari, dil ne pukara
Dil toh tha awaara, dekho ban gaya bechara
Rooh-e-daari, rishtedari, dil ne pukara
Dil toh tha awaara, dekho ban gaya bechara
Ban ke hawa main bezubaan, main dil lagane aaunga
Raaton ko tera chaand bankar tumko dekhne aaunga
Ban ke hawa main bezubaan, main dil lagane aaunga
Raaton ko tera chaand bankar tumko dekhne aaunga
Aisa yeh naata, dil lagakar chhod nahi hum paayenge
Rab se maanga hai ke tumko mar ke bhi hum chaahenge
Khokar main tujhko awaara ho gaya
Dil jo tha mera, tumhara ho gaya
Tumhara ho gaya (haan)
Saalon ka rishta anjaana ho gaya
Tumse mile the, haan, zamaana ho gaya
Milne ko tadpe, begaana ho gaya
Dil mera dhadke zamaana ho gaya
Rooh-e-daari, rishtedari, dil ne pukara
Dil toh tha awaara, dekho ban gaya bechara
Rooh-e-daari, rishtedari, dil ne pukara
Dil toh tha awaara, dekho ban gaya bechara
Re re sa, re re sa, re re sa, re re sa
Re re sa re ni sa re sa dha ni re, re re
Ga ma pa, ma pa dha sa ni…