Saanjh ko aana, dil lete jaana
Pooch ke baatein meri chuppi bhagana
Saanjh ko aana, dil lete jaana
Pooch ke baatein meri chuppi bhagana
Sapno si aankhein aur kaandhe sirhana
Paas aa jaane ka yeh hai bahana
Paas aa jaane ka yeh bahana de rahi hoon
Oh, aise dil mein jagayi raatein
Suljhi jaayein uljhe dil ki baatein
Chaadar ban ke reh jaao tan pe
Aao dil mein, reh jaao mere dil mein
Ho, aao dil mein
Ho, aao dil mein
Saanjhi si nazrein dil mein soorat jagayein
Maanjhe si baahein dil ko door le jaayein
Sair karayein aur khoob rijhaayein
Doori ke khayaal se neend na aaye
Doori ke khayaal se neend na aaye
Theher jaao
Oh, aise dil mein jagayi raatein
Suljhi jaayein uljhe dil ki baatein
Chaadar ban ke reh jaao tan pe
Aao dil mein, reh jaao mere dil mein
Beqaraari meri-tumhari
Beqaraari meri-tumhari
Bas chupke-chupke, chupke-chupke
Dheere-dheere, dheere-dheere
Badhti jaaye, ruk na paaye
Ho, aao dil mein
Ho, aao dil mein
Saanjh ko aana, dil khaali baitha
Khaana banana aur baatein banana
Paas jo aaye toh door na jaana
Paas jo aaye toh door na jaana
Aadat si lag gayi, yoon hi chalna
Aadat si lag gayi, yoon hi chalna
Theher jaao
Aao dil mein, oh, aao dil mein