kabir singh album lyrics

Lyrics & meaning

Bekhayali

Sachet Tandon

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori, yeh sawaal aaye
Teri nazdeekiyon ki khushi behisaab thi
Hissey mein faasle bhi tere bemisaal aaye

Main jo tum se door hoon, kyun door main rahoon?
Tera guroor hoon
Aa, tu faasla mita, tu khwaab sa mila
Kyun khwaab tod doon?

Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun judaai de gaya tu, yeh sawaal aaye
Thoda sa main khafa ho gaya apne aap se
Thoda sa tujh pe bhi bewajah hi malaal aaye

Hai yeh tadpan, hai yeh uljhan
Kaise jee loon bina tere
Meri ab sab se hai anban
Bante kyun yeh khuda mere

Yeh jo log-baag hain, jungle ki aag hain
Kyun aag mein jaloon?
Yeh nakaam pyaar mein, khush hain yeh haar mein
In jaisa kyun banoon?

Raatein dengi bata, neendon mein teri hi baat hai
Bhoolun kaise tujhe? Tu toh khayalon mein saath hai

Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori, yeh sawaal aaye

Nazar ke aage har ek manzar ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhara badan mein mere zeher ki tarah utar raha hai
Nazar ke aage har ek manzar ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhara badan mein mere zeher ki tarah utar raha hai

Aa zamaane, aazma le, rootha nahi
Faaslon se hausla yeh toot’ta nahi
Na hai woh bewafa aur na main hoon bewafa
Woh meri aadaton ki tarah chhoot’ta nahi