Savera ho raha lyrics kaisi yeh yaariaan

Lyrics & meaning

Savera Ho Raha

GenreIndian Pop

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Baatein karne laga hoon khud se hi mein khwaabon mein
Tere aane se pehle tujse judne laga hoon khayaalon mein
Roshan hua andhera, kyun hai hua, main jaanu na
Teri aahat bhi rok deti hai saansein meri 100 dafaa

Thoda sa gabhraau, keh bhi na paaun
Haal mera, jo mera ho raha

Savera, savera, savera ho raha
Jo khoya kabhi tha, wo mera ho raha
Bhulake wo yaadein purani savera ho raha

Savera, savera, savera ho raha
Jo khoya kabhi tha, wo mera ho raha
Bhulake wo yaadein purani savera ho raha

Savera ho raha
Savera ho raha

Sapne woh tere, wahi toh mere sapne ho gaye
Teri aankhon ne bune tabhi se mere apne ho gaye
Darta bhi hai yeh dil, kahi na bhikhroon toot ke
Par teri aas mein jiyu main khud ko hi bhool ke

Koi to ek wajah hai, jaise khuda hai
Door saara andhera ho raha

Savera, savera, savera ho raha
Jo khoya kabhi tha, wo mera ho raha
Bhulake wo yaadein purani savera ho raha

Savera, savera, savera ho raha
Jo khoya kabhi tha, wo mera ho raha
Bhulake wo yaadein purani savera ho raha

Savera ho raha
Savera ho raha