Bikhri-bikhri, khoi-khoi, sehmi-sehmi shaam hai
Shaam hai, shaam hai, shaam hai, shaam hai
Ishtehaar koi chhapwa do, parchiyan koi batwa do
Ab tera ghar aur mera sar, sab naam-waam bhi tera hai
Tera kutta ab se mera hai, meri billi ab se teri
Chaadar bas ek hi, aadha tu le, aadhi meri
Teri-meri, teri-meri, teri-meri, teri…
Teri-meri, teri yeh pehli shaam hai
Teri-meri, teri-meri, teri-meri, teri…
Teri-meri, teri yeh pehli shaam hai
Pehli shaam hai
Patrakaar koi bulwa lo, photu-wotu khichwa do
Ab tera ghar aur mera sar, sab naam-waam bhi tera
Tera gussa ab se mera hai, mera pyaar ab se tera
TV bas ek hi hogi, baari meri-teri
Teri-meri, teri-meri, teri-meri, teri…
Teri-meri, teri yeh pehli shaam hai
Teri-meri, teri-meri, teri-meri, teri…
Teri-meri, teri yeh pehli shaam hai
Pehli shaam hai
Hai kya, hai kya, tujhe pata hai kya?
Jab-jab tu karti baati
jaise yeh fizayein, duniya bhi sang gaati hai
Haina, haina? Tujhe pata hoga
Tere milne se meri saansein jo ruk jaati
Jab tu galti se takarati hai
Suit-boot ab silwa do, gehna-jhumka banwa lo
Ab tera ghar aur mera sar, sab naam-waam bhi tera hai
Mera aangan ab se tera hai, teri duniya ab se meri
Saalon ka hoga rishta, aur marzi hogi teri
Teri-meri, teri-meri, teri-meri, teri…
Teri-meri, teri yeh pehli shaam hai
Teri-meri, teri-meri, teri-meri, teri…
Teri-meri, teri yeh pehli shaam hai
Pehli shaam hai
Ye maddham hawayein batayein mujhe
Ab kya hai mujhko kehna
Na tujhko pata, na mujhko khabar
Kaise ik-duje ko hai sehna, sehna, sehna
Kya bolein hain tere naina? Naina, naina
Ke sach mein saath hai rehna
Toh ab laddu-barfi mangwa lo, mithai-bundiya chakhwa do
Ab tera ghar aur mera sar, sab naam-waam bhi tera hai
Teri coffee ab se meri hai, meri chai ab se teri
Roshan hoga sab kuch, bas hum rahenge Andheri
Teri-meri, teri-meri, teri-meri, teri…
Teri-meri, teri yeh pehli shaam hai
Teri-meri, teri-meri, teri-meri, teri…
Teri-meri, teri yeh pehli shaam hai
Pehli shaam hai